Main Aksar Sard Raaton Mein, Urdu Nazam By Qamar Abbas Qamar

Main Aksar Sard Raaton Mein is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Qamar Abbas Qamar. Main Aksar Sard Raaton Mein comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Main Aksar Sard Raaton Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں اکثر سرد راتوں میں

قمر عباس قمر

میں اکثر سرد راتوں میں

زمین خانۂ دل پر

اکیلے بیٹھ جاتا ہوں

پھر اپنا سر جھکا کر یاد عہد رفتگاں دل میں سجاتا ہوں

خیال ماضیٔ دوراں مرے اس جسم کے اندر عجب طوفاں اٹھاتا ہے

ہزاروں میل کا لمبا سفر پیدل کراتا ہے

میں یادوں کے دھندلکوں میں تمہارے نقش پا کو ڈھونڈنے جب بھی نکلتا ہوں

تو اک تاریک وادی میں اترتا ہوں

جہاں یادوں کی کچھ بے رنگ تصویریں مجھے بکھری پڑی معلوم دیتی ہیں

مجھے آواز دیتی ہیں

کہ وحشت کا یہ جنگل باہیں پھیلائے بلاتا ہے

مرا شوق نظر تھک کر زمین پر بیٹھ جاتا ہے

اچانک جب تمہاری یاد کے وحشی جانور آواز دیتے ہیں

میں ڈرتا ہوں

کہ جیسے کوئی بچہ اپنے ہی سائے سے ڈر جائے

کوئی شیشہ بکھر جائے

کوئی فرقت میں گھبرائے

مرے تار نفس پر ضرب کرتی مستقل دھڑکن

مجھے رکنے نہیں دیتی

مجھے تھکنے نہیں دیتی

یہ بے چینی مجھے پھر اک سفر پر لے کے آتی ہے

میں چلتا ہوں

کہ جیسے اک مسافر بعد مدت اپنے گھر جائے

ٹھٹھرتی سرد راتوں میں

کوئی جیسے کہ جم جائے

کہ جیسے سانس تھم جائے

مگر میرے مقدر میں

سکون قلب و جاں کب ہے

نگاہ یاس میں مبہم سہی کوئی نشاں کب ہے

کہیں پر شورش امواج دریا ہے

کہیں آواز قلقل ہے

مگس کا شور ہے سرسر صبا کی آہ و گریہ ہے

سو دل اپنا مچلتا ہے

کسی سے کب بہلتا ہے

دھواں اٹھتا ہے دل سے آنکھ میں طوفاں مچلتا ہے

طبیعت زور کرتی ہے

یہ دھڑکن شور کرتی ہے

تمہاری یاد کے یہ چیختے اور پیٹتے لمحے

مجھے رونے نہیں دیتے

مجھے سونے نہیں دیتے

قمر عباس قمر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Aksar Sard Raaton Mein

Qamar Abbas Qamar

main aksar sard raaton mein
zamin-e-KHana-e-dil par
akele baiTh jata hun
phir apna sar jhuka kar yaad-e-ahd-e-raftagan dil mein sajata hun
KHayal-e-mazi-e-dauran mere is jism ke andar ajab tufan uThata hai
hazaron mil ka lamba safar paidal karaata hai
main yaadon ke dhundlakon mein tumhaare naqsh-e-pa ko DhunDne jab bhi nikalta hun
to ek tarik wadi mein utarta hun
jahan yaadon ki kuchh be-rang taswiren mujhe bikhri paDi malum deti hain
mujhe aawaz deti hain
ki wahshat ka ye jangal bahen phailae bulata hai
mera shauq-e-nazar thak kar zamin par baiTh jata hai
achanak jab tumhaari yaad ke wahshi jaanwar aawaz dete hain
main Darta hun
ki jaise koi bachcha apne hi sae se Dar jae
koi shisha bikhar jae
koi furqat mein ghabrae
mere tar-e-nafas par zarb karti mustaqil dhaDkan
mujhe rukne nahin deti
mujhe thakne nahin deti
ye bechaini mujhe phir ek safar par le ke aati hai
main chalta hun
ki jaise ek musafir baad muddat apne ghar jae
ThiThurti sard raaton mein
koi jaise ki jam jae
ki jaise sans tham jae
magar mere muqaddar mein
sukun-e-qalb-o-jaan kab hai
nigah-e-yas mein mubham sahi koi nishan kab hai
kahin par shorish-e-amwaj-e-dariya hai
kahin aawaz-e-qulqul hai
magas ka shor hai sarsar saba ki aah-o-girya hai
so dil apna machalta hai
kisi se kab bahalta hai
dhuan uThta hai dil se aankh mein tufan machalta hai
tabiat zor karti hai
ye dhaDkan shor karti hai
tumhaari yaad ke ye chiKHte aur piTte lamhe
mujhe rone nahin dete
mujhe sone nahin dete

(922) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Aksar Sard Raaton Mein written by Qamar Abbas Qamar at UrduPoint. Main Aksar Sard Raaton Mein is one of the masterpieces written by Qamar Abbas Qamar. You can also find the complete poetry collection of Qamar Abbas Qamar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qamar Abbas Qamar' above.

Main Aksar Sard Raaton Mein is a widely read Urdu Nazam. If you like Main Aksar Sard Raaton Mein, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.