Sar UThae Hain Aasman Kai, Urdu Ghazal By Qamar Rais Bahraichi

Sar UThae Hain Aasman Kai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qamar Rais Bahraichi. Sar UThae Hain Aasman Kai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sar UThae Hain Aasman Kai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سر اٹھائے ہیں آسمان کئی

قمر رئیس بہرائچی

سر اٹھائے ہیں آسمان کئی

میں اکیلا ہوں اور کمان کئی

حال دنیا کا پوچھئے مجھ سے

مجھ میں رہتے ہیں خاندان کئی

ہر قدم امتحان ہے میرا

ہو گئے میرے مہربان کئی

بے زباں ہو گئے پرندے جب

نذر آتش ہوئے مکان کئی

لوگ آئینہ اس کو کہتے ہیں

منہ میں رکھتا ہے جو زبان کئی

زندگانی ترے سوا بھی اور

ہم کو دینے ہیں امتحان کئی

میں سناؤں مگر کہاں سے قمرؔ

مجھ میں پنہاں ہیں داستان کئی

قمر رئیس بہرائچی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sar UThae Hain Aasman Kai

Qamar Rais Bahraichi

sar uThae hain aasman kai
main akela hun aur kaman kai

haal duniya ka puchhiye mujh se
mujh mein rahte hain KHandan kai

har qadam imtihan hai mera
ho gae mere mehrban kai

be-zaban ho gae parinde jab
nazr-e-atish hue makan kai

log aaina us ko kahte hain
munh mein rakhta hai jo zaban kai

zindagani tere siwa bhi aur
hum ko dene hain imtihan kai

main sunaun magar kahan se 'qamar'
mujh mein pinhan hain dastan kai

(455) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sar UThae Hain Aasman Kai written by Qamar Rais Bahraichi at UrduPoint. Sar UThae Hain Aasman Kai is one of the masterpieces written by Qamar Rais Bahraichi. You can also find the complete poetry collection of Qamar Rais Bahraichi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qamar Rais Bahraichi' above.

Sar UThae Hain Aasman Kai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sar UThae Hain Aasman Kai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.