Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi, Urdu Ghazal By Qamar Siwani

Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qamar Siwani. Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گوہر نایاب کو کہتا ہے پتھر آدمی

قمر سیوانی

گوہر نایاب کو کہتا ہے پتھر آدمی

پتھروں کو کہتا ہے نایاب گوہر آدمی

تم کرو یہ فیصلہ کب اس سے ملنا چاہیے

دن میں کھلتا پھول ہے شب میں ہے خنجر آدمی

میرے چہرے کو بخوبی راز یہ معلوم ہے

آدمی کب آئنہ ہے کب ہے پتھر آدمی

اپنی آنکھیں بند کرکے کرتا ہے جب بھی سفر

راستے میں کھاتا ہے ٹھوکر پے ٹھوکر آدمی

خبط کا گہرا سمندر صبر کا اونچا پہاڑ

آنکھ میں رکھتا ہے کیسا کیسا منظر آدمی

جب جلاتا ہے غریبوں کو ستم کی آگ میں

اس گھڑی ہوتا ہے سورج کے برابر آدمی

آگے ہے دلدل کی بستی پیچھے ہے شہر شرر

چھوڑ کر آخر کدھر جائے سمندر آدمی

آنے والا ہے کوئی طوفان بحر وقت میں

اپنی اپنی ناؤ کا بن جائے لنگر آدمی

آسماں کی وسعتوں سے پوچھ لے جا کر قمرؔ

کب دکھائی دیتا ہے گہرا سمندر آدمی

قمر سیوانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi

Qamar Siwani

gauhar-e-nayab ko kahta hai patthar aadmi
pattharon ko kahta hai nayab gauhar aadmi

tum karo ye faisla kab us se milna chahiye
din mein khilta phul hai shab mein hai KHanjar aadmi

mere chehre ko ba-KHubi raaz ye malum hai
aadmi kab aaina hai kab hai patthar aadmi

apni aankhen band karke karta hai jab bhi safar
raste mein khata hai Thokar pe Thokar aadmi

KHabt ka gahra samundar sabr ka uncha pahaD
aankh mein rakhta hai kaisa kaisa manzar aadmi

jab jalata hai gharibon ko sitam ki aag mein
us ghaDi hota hai suraj ke barabar aadmi

aage hai daldal ki basti pichhe hai shahr-e-sharar
chhoD kar aaKHir kidhar jae samundar aadmi

aane wala hai koi tufan bahr-e-waqt mein
apni apni naw ka ban jae langar aadmi

aasman ki wusaton se puchh le ja kar 'qamar'
kab dikhai deta hai gahra samundar aadmi

(653) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi written by Qamar Siwani at UrduPoint. Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi is one of the masterpieces written by Qamar Siwani. You can also find the complete poetry collection of Qamar Siwani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qamar Siwani' above.

Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gauhar-e-nayab Ko Kahta Hai Patthar Aadmi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.