Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota, Urdu Ghazal By Qamar Usmani

Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qamar Usmani. Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الم کی بات سے آزار جاں سے کچھ نہیں ہوتا

قمر عثمانی

الم کی بات سے آزار جاں سے کچھ نہیں ہوتا

وہ عالم ہے کہ احساس زیاں سے کچھ نہیں ہوتا

وقار گلستاں کی پاسداری بات ہے ورنہ

چمن کے نام پر حسن بیاں سے کچھ نہیں ہوتا

عمل کی قوت تسخیر سے دنیا بدلتی ہے

شکایت ہائے جور آسماں سے کچھ نہیں ہوتا

یقیں محکم اگر ہو گردش دوراں بدل ڈالے

گماں کتنا ہی بڑھ جائے گماں سے کچھ نہیں ہوتا

نظر صیاد کے حالات پر رکھنا ضروری ہے

فقط تزئین شاخ آشیاں سے کچھ نہیں ہوتا

جہاں حالات پر تنقید ہی کرنا ضروری ہو

وہاں رعنائی حسن بیاں سے کچھ نہیں ہوتا

جہاں دار و رسن کی بات موضوع سخن ٹھہرے

وہاں الفت کی رنگیں داستاں سے کچھ نہیں ہوتا

وہاں اکثر کلام نرم و شیریں خوب ہوتا ہے

کہ اکثر جس جگہ تیغ و سناں سے کچھ نہیں ہوتا

بہ نام عشق جذب جاں فروشی کی ضرورت ہے

مسلسل سجدہ ہائے آستاں سے کچھ نہیں ہوتا

محبت میں اک ایسا وقت بھی آتا ہے انساں پر

کہ جب تسکین دل آرام جاں سے کچھ نہیں ہوتا

کسی بھی طور اب تسکین کی صورت نہیں بنتی

کسی بھی مہرباں نا مہرباں سے کچھ نہیں ہوتا

نشیمن پھونک ہی ڈالا قمرؔ جب اپنے ہاتھوں سے

اب آتی ہے تو اب برق تپاں سے کچھ نہیں ہوتا

قمر عثمانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota

Qamar Usmani

alam ki baat se aazar-e-jaan se kuchh nahin hota
wo aalam hai ki ehsas-e-ziyan se kuchh nahin hota

waqar-e-gulsitan ki pasdari baat hai warna
chaman ke nam par husn-e-bayan se kuchh nahin hota

amal ki quwwat-e-tasKHir se duniya badalti hai
shikayat-ha-e-jaur-e-asman se kuchh nahin hota

yaqin mohkam agar ho gardish-e-dauran badal Dale
guman kitna hi baDh jae guman se kuchh nahin hota

nazar sayyaad ke haalat par rakhna zaruri hai
faqat tazin-e-shaKH-e-ashiyan se kuchh nahin hota

jahan haalat par tanqid hi karna zaruri ho
wahan ranai-e-husn-e-bayan se kuchh nahin hota

jahan dar-o-rasan ki baat mauzu-e-suKHan Thahre
wahan ulfat ki rangin dastan se kuchh nahin hota

wahan aksar kalam-e-narm-o-shirin KHub hota hai
ki aksar jis jagah tegh-o-sinan se kuchh nahin hota

ba-nam-e-ishq jazb-e-jaan-faroshi ki zarurat hai
musalsal sajda-ha-e-astan se kuchh nahin hota

mohabbat mein ek aisa waqt bhi aata hai insan par
ki jab taskin-e-dil aaram-e-jaan se kuchh nahin hota

kisi bhi taur ab taskin ki surat nahin banti
kisi bhi mehrban na-mehrban se kuchh nahin hota

nasheman phunk hi Dala 'qamar' jab apne hathon se
ab aati hai to ab barq-e-tapan se kuchh nahin hota

(510) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota written by Qamar Usmani at UrduPoint. Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota is one of the masterpieces written by Qamar Usmani. You can also find the complete poetry collection of Qamar Usmani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qamar Usmani' above.

Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Alam Ki Baat Se Aazar-e-jaan Se Kuchh Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.