Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya, Urdu Ghazal By Qasim Niyazi

Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qasim Niyazi. Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تھی دھوپ تیز اس قدر بدن بھی جیسے جل گیا

قاسم نیازی

تھی دھوپ تیز اس قدر بدن بھی جیسے جل گیا

مگر بڑھا جو میرا قد تو آفتاب ڈھل گیا

جب اس گلی میں جھوٹ کی سنیں فریب کاریاں

تو اس گلی میں سچ سنا اور آگے میں نکل گیا

جو میرا نام آ گیا وہ مسکرا کے رہ گیا

رقیب کی خوشامدوں کا زور اس پہ چل گیا

یہاں ہر ایک سمت ہیں لطافتیں نفاستیں

کہیں یہ دل ٹھہر گیا کہیں یہ دل مچل گیا

یہ رہنے والا شہر کا یقیں نہ کر سکا کبھی

وہ رہنے والا گاؤں کا کہ جھوٹ سے بہل گیا

تھی میرے پاس روشنی تو وہ بھی میرے ساتھ تھا

اندھیرا جب ہوا تو وہ کہاں سے کب نکل گیا

مجھے نہیں ہے اس کا غم کہ مفلسی ملی مجھے

مجھے یہ غم ستا رہا ہے اس کا کام چل گیا

ہمیں نیازیؔ آج بھی تری وہ بات یاد ہے

جو گر گیا سو گر گیا جو اٹھ گیا سنبھل گیا

قاسم نیازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya

Qasim Niyazi

thi dhup tez is qadar badan bhi jaise jal gaya
magar baDha jo mera qad to aaftab Dhal gaya

jab us gali mein jhuT ki sunin fareb-kariyan
to us gali mein sach suna aur aage main nikal gaya

jo mera nam aa gaya wo muskura ke rah gaya
raqib ki KHushamadon ka zor us pe chal gaya

yahan har ek samt hain latafaten nafasaten
kahin ye dil Thahar gaya kahin ye dil machal gaya

ye rahne wala shahr ka yaqin na kar saka kabhi
wo rahne wala gaon ka ki jhuT se bahal gaya

thi mere pas raushni to wo bhi mere sath tha
andhera jab hua to wo kahan se kab nikal gaya

mujhe nahin hai is ka gham ki muflisi mili mujhe
mujhe ye gham sata raha hai us ka kaam chal gaya

hamein 'niyazi' aaj bhi teri wo baat yaad hai
jo gir gaya so gir gaya jo uTh gaya sanbhal gaya

(463) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya written by Qasim Niyazi at UrduPoint. Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya is one of the masterpieces written by Qasim Niyazi. You can also find the complete poetry collection of Qasim Niyazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qasim Niyazi' above.

Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Thi Dhup Tez Is Qadar Badan Bhi Jaise Jal Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.