Bachchon Ke Liye KHususi Nazm, Urdu Nazam By Qayyum Asar

Bachchon Ke Liye KHususi Nazm is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Qayyum Asar. Bachchon Ke Liye KHususi Nazm comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Bachchon Ke Liye KHususi Nazm on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بچوں کے لیے خصوصی نظم

قیوم اثر

خواب خرگوش توڑ دینا ہے

تم کو پڑھنا ہے خوب پڑھنا ہے

میں تمہیں تتلیوں سے بہلاؤں

یا پتنگیں اڑا کے پھسلاؤں

اور کیرم کی گوٹیوں کے ساتھ

وقت برباد کرنا سکھلاؤں

ایک ہی کام کر گزرنا ہے

تم کو پڑھنا ہے خوب پڑھنا ہے

نانی دادی سے لوریاں بھی سن

کون کہتا ہے تجھ سے موتی چن

اتنا نادان ہو گیا ہے تو

بند آنکھوں سے گا رہا ہے گن

آسمانوں کی بات کرنا ہے

تم کو پڑھنا ہے خوب پڑھنا ہے

پڑھنے لکھنے سے جی چراتا ہے

گلی ڈنڈے میں جی لگاتا ہے

گیند بلے کا تو ہے شیدائی

عمر یوں ہی گزار دیتا ہے

اب نئے راستے پہ چلنا ہے

تم کو پڑھنا ہے خوب پڑھنا ہے

نیچے درجوں میں پاس ہو جانا

ننھے منوں کا سیڑھی چڑھ جانا

ہے سفر علم کا ذرا لمبا

حوصلوں سے مگر سمٹ جانا

بند ذہنوں کا اب تو کھلنا ہے

تم کو پڑھنا ہے خوب پڑھنا ہے

ایک نعمت کتاب ہے تیری

یوں ہی ٹلتی نہیں پریشانی

اس سے ملتے ہیں فائدے سارے

اس کی برکت کرے گی سلطانی

چاند تاروں میں جا کے رہنا ہے

تم کو پڑھنا ہے خوب پڑھنا ہے

قیوم اثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bachchon Ke Liye KHususi Nazm

Qayyum Asar

KHwab-e-KHargosh toD dena hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
main tumhein titliyon se bahlaun
ya patangen uDa ke phuslaun
aur carrom ki goTion ke sath
waqt barbaad karna sikhlaun
ek hi kaam kar guzarna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
nani dadi se loriyan bhi sun
kaun kahta hai tujh se moti chun
itna nadan ho gaya hai tu
band aankhon se ga raha hai gun
aasmanon ki baat karna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
paDhne likhne se ji churaata hai
gulli DanDe mein ji lagata hai
gend balle ka tu hai shaidai
umr yun hi guzar deta hai
ab nae raste pe chalna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
niche darjon mein pas ho jaana
nanhe munnon ka siDhi chaDh jaana
hai safar ilm ka zara lamba
hauslon se magar simaT jaana
band zehnon ka ab to khulna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai
ek neamat kitab hai teri
yunhi Talti nahin pareshani
is se milte hain faede sare
is ki barakat karegi sultani
chand taron mein ja ke rahna hai
tum ko paDhna hai KHub paDhna hai

(541) ووٹ وصول ہوئے

You can read Bachchon Ke Liye KHususi Nazm written by Qayyum Asar at UrduPoint. Bachchon Ke Liye KHususi Nazm is one of the masterpieces written by Qayyum Asar. You can also find the complete poetry collection of Qayyum Asar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qayyum Asar' above.

Bachchon Ke Liye KHususi Nazm is a widely read Urdu Nazam. If you like Bachchon Ke Liye KHususi Nazm, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.