UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha, Urdu Ghazal By Qazi Ehtisham Bachhrauni

UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qazi Ehtisham Bachhrauni. UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اٹھا بھی دل سے اگر میری چشم تر میں رہا

قاضی احتشام بچھرونی

اٹھا بھی دل سے اگر میری چشم تر میں رہا

خدا کا شکر ہے طوفان گھر کا گھر میں رہا

نہ جانے کون سی اس میں کشش تھی پوشیدہ

تمام عمر وہ چہرا مری نظر میں رہا

ستم شعار سے ہم جیتے جی یہ کیوں کہہ دیں

کہ حوصلہ نہ ہمارے دل و جگر میں رہا

نہ روک پاؤں گا ہرگز میں تیری رسوائی

تو اشک بن کے اگر میری چشم تر میں رہا

وہ میری طرح بھی خانہ خراب کیوں رہتا

بنا کے دل کو مرے گھر وہ اپنے گھر میں رہا

فنا کے بعد بھی کی ہے تری قدم بوسی

میں خاک ہو کے بھی تیری ہی رہ گزر میں رہا

گیا جو تاج ملی با کمال درویشی

زمانہ یوں بھی مرے حلقۂ اثر میں رہا

ضرور ہو نہ ہو تو تھا مجھ ہی میں پوشیدہ

یہ ذوق سجدہ ہمیشہ جو سر کے سر میں رہا

گیا جو منزل مقصود تک جو تو دیوانہ

یہ اہل ہوش ہمیشہ اگر مگر میں رہا

ہے احتشامؔ زمانے میں بڑھ کے ایک سے ایک

وہ کون ہے کہ جو یکتا کسی ہنر میں رہا

قاضی احتشام بچھرونی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha

Qazi Ehtisham Bachhrauni

uTha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha
KHuda ka shukr hai tufan ghar ka ghar mein raha

na jaane kaun si us mein kashish thi poshida
tamam-umr wo chehra meri nazar mein raha

sitam-shiar se hum jite-ji ye kyun kah den
ki hausla na hamare dil-o-jigar mein raha

na rok paunga hargiz main teri ruswai
tu ashk ban ke agar meri chashm-e-tar mein raha

wo meri tarah bhi KHana-KHarab kyun rahta
bana ke dil ko mere ghar wo apne ghar mein raha

fana ke baad bhi ki hai teri qadam-bosi
main KHak ho ke bhi teri hi rahguzar mein raha

gaya jo taj mili ba-kamal darweshi
zamana yun bhi mere halqa-e-asar mein raha

zarur ho na ho tu tha mujh hi mein poshida
ye zauq-e-sajda hamesha jo sar ke sar mein raha

gaya jo manzil-e-maqsud tak jo tu diwana
ye ahl-e-hosh hamesha agar-magar main raha

hai 'ehtisham' zamane mein baDh ke ek se ek
wo kaun hai ki jo yakta kisi hunar mein raha

(309) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha written by Qazi Ehtisham Bachhrauni at UrduPoint. UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha is one of the masterpieces written by Qazi Ehtisham Bachhrauni. You can also find the complete poetry collection of Qazi Ehtisham Bachhrauni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Ehtisham Bachhrauni' above.

UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha is a widely read Urdu Ghazal. If you like UTha Bhi Dil Se Agar Meri Chashm-e-tar Mein Raha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.