Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai, Urdu Ghazal By Qazi Ghulam Mohammad

Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qazi Ghulam Mohammad. Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جوانوں میں محبت نیم جاں معلوم ہوتی ہے

قاضی غلام محمد

جوانوں میں محبت نیم جاں معلوم ہوتی ہے

بڑے بوڑھوں میں لیکن نوجواں معلوم ہوتی ہے

ٹھکانے کا کوئی فقرہ یہ فرماتی نہیں ورنہ

تری ماں تو بڑی معقول ماں معلوم ہوتی ہے

دیا ہے حق نے میری ساس کو کیا پھول سا چہرہ

بروز عید بھی یہ نوحہ خواں معلوم ہوتی ہے

مرے محبوب تیرے حسن کا یہ اک کرشمہ ہے

ہماری مفلسی اب جاوداں معلوم ہوتی ہے

الف نے ب کے غم میں زہر کھا کر خودکشی کر لی

بڑی سوچ اور پرانی داستاں معلوم ہوتی ہے

کنارہ میری کشتی کے مقدر میں نہیں شاید

نحوست ناخدا کی بے کراں معلوم ہوتی ہے

جناب شیخ اس سے روز ہی بے نقطہ سنتے ہیں

یہ شیخانی کوئی اہل زباں معلوم ہوتی ہے

قطب مینار سے گر کر مرا تو ڈاکٹر بولے

کہ اس کی موت ہم کو ناگہاں معلوم ہوتی ہے

بلا سے یہ گھسیٹی جا رہی ہیں راہ الفت میں

تری زلفوں کی لمبائی کہاں معلوم ہوتی ہے

بچارے ریل کے انجن نے بھی کانوں میں انگلی دی

غم جاناں کے ماروں کی فغاں معلوم ہوتی ہے

بیاں کیا ہو نزاکت وہ تو وہ نازک بدن نکلا

گراں جس کی سماعت کو اذاں معلوم ہوتی ہے

قاضی غلام محمد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai

Qazi Ghulam Mohammad

jawanon mein mohabbat nim-jaan malum hoti hai
baDe buDhon mein lekin naujawan malum hoti hai

Thikane ka koi fiqra ye farmati nahin warna
teri man to baDi maqul man malum hoti hai

diya hai haq ne meri sas ko kya phul sa chehra
baroz-e-eid bhi ye nauha-KHwan malum hoti hai

mere mahbub tere husn ka ye ek karishma hai
hamari muflisi ab jawedan malum hoti hai

alif ne be ke gham mein zahr kha kar KHud-kushi kar li
baDi soch aur purani dastan malum hoti hai

kinara meri kashti ke muqaddar mein nahin shayad
nahusat naKHuda ki be-karan malum hoti hai

janab-e-shaiKH us se roz hi be-nuqta sunte hain
ye shaiKHani koi ahl-e-zaban malum hoti hai

qutub-minar se gir kar mara to doctor bole
ki is ki maut hum ko na-gahan malum hoti hai

bala se ye ghasiTi ja rahi hain rah-e-ulfat mein
tari zulfon ki lambai kahan malum hoti hai

bichaare rail ke engine ne bhi kanon main ungli di
gham-e-jaanan ke maron ki fughan malum hoti hai

bayan kya ho nazakat wo to wo nazuk-badan nikla
giran jis ki samaat ko azan malum hoti hai

(512) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai written by Qazi Ghulam Mohammad at UrduPoint. Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai is one of the masterpieces written by Qazi Ghulam Mohammad. You can also find the complete poetry collection of Qazi Ghulam Mohammad by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Ghulam Mohammad' above.

Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jawanon Mein Mohabbat Nim-jaan Malum Hoti Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.