Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain, Urdu Ghazal By Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji

Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji. Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

قدم جب گھر سے باہر کانچ کے پیکر اٹھاتے ہیں

قاضی سید محی احفاظ شجیع

قدم جب گھر سے باہر کانچ کے پیکر اٹھاتے ہیں

تو پھر ہاتھوں میں اپنے لوگ بھی پتھر اٹھاتے ہیں

ہماری ناؤ جو بچ کر نکل آئی ہے طوفاں سے

اسے غرقاب کرنے اب کنارے سر اٹھاتے ہیں

میں اک مجبور ہوں مظلوم ہوں اس شہر میں شاید

جبھی تو لوگ مجھ پر انگلیاں اکثر اٹھاتے ہیں

ہماری زندگی کا ہے یہی دراصل سرمایہ

غموں کا بوجھ بھی ہم روز و شب ہنس کر اٹھاتے ہیں

یقیناً رخ بدل لیتی ہیں پھر سرکش ہوائیں بھی

جو ہم اپنے سفینے کا کبھی لنگر اٹھاتے ہیں

فقط کچھ نقرئی سکوں کی خاطر آج اہل فن

قلم کس پر اٹھانا تھا قلم کس پر اٹھاتے ہیں

ہزیمت دونوں عالم میں فقط ان کا مقدر ہے

جو بچے سامنے اپنے بڑوں کے سر اٹھاتے ہیں

نکلتے ہیں جو آنسو دوستو چشم ندامت سے

فرشتے آسماں سے آ کے یہ گوہر اٹھاتے ہیں

جو تقلید پیمبر کو شعار زندگی کر لیں

مزہ جینے کا ایسے لوگ ہی بہتر اٹھاتے ہیں

قاضی سید محی احفاظ شجیع

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain

Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji

qadam jab ghar se bahar kanch ke paikar uThate hain
to phir hathon mein apne log bhi patthar uThate hain

hamari naw jo bach kar nikal aai hai tufan se
use gharqab karne ab kinare sar uThate hain

main ek majbur hun mazlum hun is shahr mein shayad
jabhi to log mujh par ungliyan aksar uThate hain

hamari zindagi ka hai yahi dar-asl sarmaya
ghamon ka bojh bhi hum roz-o-shab hans kar uThate hain

yaqinan ruKH badal leti hain phir sarkash hawaen bhi
jo hum apne safine ka kabhi langar uThate hain

faqat kuchh nuqrai sikkon ki KHatir aaj ahl-e-fan
qalam kis par uThana tha qalam kis par uThate hain

hazimat donon aalam mein faqat un ka muqaddar hai
jo bachche samne apne baDon ke sar uThate hain

nikalte hain jo aansu dosto chashm-e-nadamat se
farishte aasman se aa ke ye gauhar uThate hain

jo taqlid-e-payambar ko shiar-e-zindagi kar len
maza jine ka aise log hi behtar uThate hain

(486) ووٹ وصول ہوئے

You can read Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain written by Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji at UrduPoint. Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain is one of the masterpieces written by Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji. You can also find the complete poetry collection of Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji' above.

Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Qadam Jab Ghar Se Bahar Kanch Ke Paikar UThate Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.