Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai, Urdu Ghazal By Quaiser Khalid

Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Quaiser Khalid. Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دریائے محبت میں موجیں ہیں نہ دھارا ہے

قیصر خالد

دریائے محبت میں موجیں ہیں نہ دھارا ہے

یوں شوق مراتب نے پستی میں اتارا ہے

اس شہر تغافل میں ہم کس کو کہیں اپنا

وہ شہر جو دنیا میں کہنے کو ہمارا ہے

آنکھوں میں کبھی تھے اب، ہاتھوں میں ہیں بچوں کے

سورج ہے کہ چندا ہے، جگنو ہے کہ تارا ہے

وہ حسن مجسم جب گزرا ہے چمن سے تب

خود اپنا سراپا بھی پھولوں نے سنوارا ہے

آ جاتے ہو کیوں آخر یوں خواب نئے لے کر

اس شہر تذبذب میں کیا ہے جو تمہارا ہے

مرعوب ہوئیں قدریں جب اپنی یہاں، ہم نے

مغرب کے دریچوں سے مشرق کو ابھارا ہے

اب جائیں تو پہچانے شاید ہی وہاں کوئی

وہ دیس جہاں ہم نے اک عرصہ گزارا ہے

نالے تو کہیں آہیں، اک حشر سا ہے ہر سو

ہے کون جو دنیا سے اس طرح سدھارا ہے

ہم رہنے لگے خالدؔ خوابوں کے جزیروں میں

پوچھا تھا کبھی اس نے کیا نام تمہارا ہے

قیصر خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai

Quaiser Khalid

dariya-e-mohabbat mein maujen hain na dhaara hai
yun shauq-e-maraatib ne pasti mein utara hai

is shahar-e-taghaful mein hum kis ko kahen apna
wo shahr jo duniya mein kahne ko hamara hai

aaankhon mein kabhi the ab, hathon mein hain bachchon ke
suraj hai ki chanda hai, jugnu hai ki tara hai

wo husn-e-mujassam jab guzra hai chaman se tab
KHud apna sarapa bhi phulon ne sanwara hai

aa jate ho kyun aaKHir yun KHwab nae le kar
is shahr-e-tazabzub mein kya hai jo tumhaara hai

marub huin qadren jab apni yahan, hum ne
maghrib ke darichon se mashriq ko ubhaara hai

ab jaen to pahchane shayad hi wahan koi
wo des jahan hum ne ek arsa guzara hai

nale to kahin aahen, ek hashr sa hai har su
hai kaun jo duniya se is tarah sidhaara hai

hum rahne lage 'KHalid' KHwabon ke jaziron mein
puchha tha kabhi us ne kya nam tumhaara hai

(581) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai written by Quaiser Khalid at UrduPoint. Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai is one of the masterpieces written by Quaiser Khalid. You can also find the complete poetry collection of Quaiser Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Quaiser Khalid' above.

Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dariya-e-mohabbat Mein Maujen Hain Na Dhaara Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.