Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi, Urdu Ghazal By Quaiser Khalid

Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Quaiser Khalid. Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہر موج حوادث رکھتی ہے سینے میں بھنور کچھ پنہاں بھی

قیصر خالد

ہر موج حوادث رکھتی ہے سینے میں بھنور کچھ پنہاں بھی

رہتے ہیں مقابل ہی اکثر اشکال بھی دل میں ایماں بھی

شہروں کی چمک نے آنکھوں کو دکھلائے وہ منظر جن کے لئے

قدروں کا تغیر کیا کہیے چھوڑ آئے زمینیں دہقاں بھی

ہر سمت لرزتی چیخیں ہیں جلتے ہوئے غنچوں، کلیوں کی

پوچھے ہے زمین گل ہم سے کیا کچھ ہے علاج ویراں بھی

تخلیق عجائب لاکھ ہوئی فی العصر یہ عقدہ اپنی جگہ

اک حرف وفا کی قامت پر یہ عہد رہا ہے حیراں بھی

تھی سوچ یہ منفی، لگنے لگی مثبت بھی جو نعرہ بن کے یہاں

آزادیٔ نسواں کہہ کہہ کر عورت کو کیا ہے عریاں بھی

اس شہر کثافت میں آ کر اوجھل ہوئے آنکھوں سے منظر

وہ گاؤں کا سبزہ وہ بحر و بر وہ دھوپ وہ برق و باراں بھی

اک عشق میں لکھ لکھ کر کاٹا ہر لفظ کتاب ہستی کا

کر ڈالا اسی نے زیر و زبر جو کام لگے تھا آساں بھی

گردش میں زمانہ ہے ہر پل امید پہ دنیا ہے قائم

کل جن سے تھے سہمے سہمے سے ہم، ہیں آج وہ لرزاں لرزاں بھی

اسرار زمانہ بن بن کر آتے ہیں یہاں دن رات مگر

فطرت کے مصائب سے اب تک ہارا ہے کہاں یہ انساں بھی

ہو پائے کسی کے ہم بھی کہاں یوں کوئی ہمارا بھی نہ ہوا

کب ٹھہری کسی اک پر بھی نظر کیا چیز ہے شہر خوباں بھی

انساں کا سمجھنا ہے باقی، انجام کو پہنچے ہے دنیا

بن جائے فرشتہ جب چاہے ہو جائے یہ اکثر حیواں بھی

ڈرتا ہے دل کم فہم یہاں کیا جانئے کیا ہو بستی کا

رہتے ہیں اب اہل الفت کے ہمراہ یہ نفرت سازاں بھی

عاجز ہے یہ انساں اپنی ہی سنائی پہ جب جب غور کرے

ہے فرق نمایاں ہر اک میں پھر بھی ہے سبھی کچھ یکساں بھی

اثبات تفکر رکھتا ہے ہم تم میں توازن بھی لیکن

رشتوں پر پڑی جب برف انا کام آئے نہ عہد و پیماں بھی

معیار ادب بھی ٹھہرے سدا ہو اہل جہاں کے لب پر بھی

تخلیق غزل کر ایسی اک ہو شاد کہ جس پر یزداں بھی

محتاط بنایا ہوگا انہیں حالات نے اپنے گھر کے ہی

اب اپنے ہی گھر میں رہتے ہیں خالدؔ جو بہ شکل میہماں بھی

قیصر خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi

Quaiser Khalid

har mauj-e-hawadis rakhti hai sine mein bhanwar kuchh pinhan bhi
rahte hain muqabil hi akasr ishkal bhi dil mein iman bhi

shahron ki chamak ne aaankhon ko dikhlae wo manzar jin ke liye
qadron ka taghayyur kya kahiye chhoD aae zaminen dahqan bhi

har samt larazti chiKHen hain jalte hue ghunchon, kaliyon ki
puchhe hai zamin-e-gul hum se kya kuchh hai ilaj-e-viran bhi

taKHliq-e-ajaib lakh hui fil-asr ye uqda apni jagah
ek harf-e-wafa ki qamat par ye ahd raha hai hairan bhi

thi soch ye manafi, lagne lagi musbat bhi jo nara ban ke yahan
aazadi-e-niswan kah kah kar aurat ko kiya hai uryan bhi

is shahar-e-kasafat mein aa kar ojhal hue aaankhon se manzar
wo ganw ka sabza wo bahr-o-bar wo dhup wo barq-o-baran bhi

ek ishq mein likh likh kar kaTa har lafz kitab-e-hasti ka
kar Dala usi ne zer-o-zabar jo kaam lage tha aasan bhi

gardish mein zamana hai har pal ummid pe duniya hai qaem
kal jin se the sahme sahme se ham, hain aaj wo larzan larzan bhi

asrar-e-zamana ban ban kar aate hain yahan din raat magar
fitrat ke masaib se ab tak haara hai kahan ye insan bhi

ho pae kisi ke hum bhi kahan yun koi hamara bhi na hua
kab Thahri kisi ek par bhi nazar kya chiz hai shahr-e-KHuban bhi

insan ka samajhna hai baqi, anjam ko pahunche hai duniya
ban jae farishta jab chahe ho jae ye akasr haiwan bhi

Darta hai dil-e-kam-fahm yahan kya jaaniye kya ho basti ka
rahte hain ab ahl-e-ulfat ke ham-rah ye nafrat-sazan bhi

aajiz hai ye insan apni hi sunai pe jab jab ghaur kare
hai farq numayan har ek mein phir bhi hai sabhi kuchh yaksan bhi

isbaat-e-tafakkur rakhta hai hum tum mein tawazun bhi lekin
rishton par paDi jab barf-ana kaam aae na ahd-o-paiman bhi

mear-e-adab bhi Thahre sada ho ahl-e-jahan ke lab par bhi
taKHliq ghazal kar aisi ek ho shad ki jis par yazdan bhi

mohtat banaya hoga unhen haalat ne apne ghar ke hi
ab apne hi ghar mein rahte hain 'KHalid' jo ba-shakl-e-mehman bhi

(690) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi written by Quaiser Khalid at UrduPoint. Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi is one of the masterpieces written by Quaiser Khalid. You can also find the complete poetry collection of Quaiser Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Quaiser Khalid' above.

Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Har Mauj-e-hawadis Rakhti Hai Sine Mein Bhanwar Kuchh Pinhan Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.