Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai, Urdu Ghazal By Quaiser Khalid

Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Quaiser Khalid. Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مہمل ہے نہ جانیں تو، سمجھیں تو وضاحت ہے

قیصر خالد

مہمل ہے نہ جانیں تو، سمجھیں تو وضاحت ہے

ہے زیست فقط دھوکا اور موت حقیقت ہے

ہم پر یہ عنایت بھی، کیا تیری محبت ہے

آنا بھی قیامت ہے جانا بھی قیامت ہے

کھلتا ہی نہیں اس کی ان خاص اداؤں میں

تمہید محبت ہے، ضد ہے کہ شرارت ہے

توہین وفا ہے یہ، ہنگامہ ہے کیوں اتنا

اس دشت وفا میں کیا پہلی یہ شہادت ہے

بدلا ہے زمانہ بس، حالات نہیں بدلے

حق گوئی میں لوگوں کو اب بھی تو قباحت ہے

اک ضد کے سبب دونوں مشکوک ہیں اب تک بھی

انکار ہے ہونٹوں پر آنکھوں میں محبت ہے

یہ معرکہ آرائی کیا ایک طرف سے تھی

کچھ اپنے کئے پر بھی کیا تم کو ندامت ہے

کچھ تو ہی بتا آخر کیوں کر ترے بندوں پر

ہر شب ہے نئی آفت ہر روز مصیبت ہے

مانا، ہو تماشائی تم ظلم مسلسل کے

لیکن یہ خموشی بھی ظالم کی حمایت ہے

تو اپنی خطاؤں پر نادم بھی ذرا ہو جا

اے دوست اگر تجھ میں تھوڑی بھی شرافت ہے

کچھ دہر پرستوں نے سفاک دلی برتی

کچھ حد سے زیادہ ہی ہم میں بھی شرافت ہے

کیا شوق جنوں تھا جو آئے تھے یہاں خالدؔ

اس دشت وفا میں تو ہر لمحہ اذیت ہے

قیصر خالد

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai

Quaiser Khalid

mohmal hai na jaanen to, samjhen to wazahat hai
hai zist faqat dhoka aur maut haqiqat hai

hum par ye inayat bhi, kya teri mohabbat hai
aana bhi qayamat hai jaana bhi qayamat hai

khulta hi nahin us ki in KHas adaon mein
tamhid-e-mohabbat hai, zid hai ki shararat hai

tauhin-e-wafa hai ye, hangama hai kyun itna
is dasht-e-wafa mein kya pahli ye shahadat hai

badla hai zamana bas, haalat nahin badle
haq-goi mein logon ko ab bhi to qabahat hai

ek zid ke sabab donon mashkuk hain ab tak bhi
inkar hai honTon par aaankhon mein mohabbat hai

ye marka-arai kya ek taraf se thi
kuchh apne kiye par bhi kya tum ko nadamat hai

kuchh tu hi bata aaKHir kyun-kar tere bandon par
har shab hai nai aafat har roz musibat hai

mana, ho tamashai tum zulm-e-musalsal ke
lekin ye KHamoshi bhi zalim ki himayat hai

tu apni KHataon par nadim bhi zara ho ja
ai dost agar tujh mein thoDi bhi sharafat hai

kuchh dahr-paraston ne saffak-dili barti
kuchh had se ziyaada hi hum mein bhi sharafat hai

kya shauq-e-junun tha jo aae the yahan 'KHalid'
is dasht-e-wafa mein to har lamha aziyyat hai

(537) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai written by Quaiser Khalid at UrduPoint. Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai is one of the masterpieces written by Quaiser Khalid. You can also find the complete poetry collection of Quaiser Khalid by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Quaiser Khalid' above.

Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Mohmal Hai Na Jaanen To, Samjhen To Wazahat Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.