Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai, Urdu Ghazal By Qurban Ali Salik Beg

Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qurban Ali Salik Beg. Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مری خاطر میں ساقی کب ترا پیمانہ آتا ہے

قربان علی سالک بیگ

مری خاطر میں ساقی کب ترا پیمانہ آتا ہے

کہ یاں ہر دم خیال نرگس مستانہ آتا ہے

ٹھکانے جستجوئے یار میں کس کس کے چھوٹے ہیں

کہ بلبل باغ میں اور بزم میں پروانہ آتا ہے

شب فرقت اٹھا کر فتنۂ محشر سے کہتی ہے

مجھے زلف دراز یار کا افسانہ آتا ہے

نکل کر آنکھ سے غائب نہیں ہوتے ہیں یہ آنسو

اسی پانی سے بھرتا عمر کا پیمانہ آتا ہے

الٰہی لوگ کیوں ہو ہو کے خوش فردوس جاتے ہیں

مگر اس باغ سے آگے کوئی ویرانہ آتا ہے

دل زار اور شست یار میں اک راہ ہے مخفی

خطا ہو کر بھی سیدھا ناوک جانانہ آتا ہے

چلا ہوں گھر سے اٹھ کر کعبے کی جانب مگر مجھ کو

تردد ہے کہ رستے میں مرے مے خانہ آتا ہے

مجھے گردش میں پایا دورۂ چرخ بریں کاہے

کہ میرے ساتھ چکر میں مرا کاشانہ آتا ہے

یہ رغبت ہے اسے اغیار سے جب شعر کہتا ہے

تو مضموں بھی خیال یار میں بیگانہ آتا ہے

ترے کوچے میں ہو جاتا ہے کیا انسان پر جادو

ابھی ہشیار جاتا ہے ابھی دیوانہ آتا ہے

گیا جو اس خم گیسو میں واں کا ہو رہا سالکؔ

یہ حیرت ہے سلامت کیوں کہ پھر کر شانہ آتا ہے

قربان علی سالک بیگ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai

Qurban Ali Salik Beg

meri KHatir mein saqi kab tera paimana aata hai
ki yan har-dam KHayal-e-nargis-e-mastana aata hai

Thikane justuju-e-yar mein kis kis ke chhuTe hain
ki bulbul bagh mein aur bazm mein parwana aata hai

shab-e-furqat uTha kar fitna-e-mahshar se kahti hai
mujhe zulf-e-daraaz-e-yar ka afsana aata hai

nikal kar aankh se ghaeb nahin hote hain ye aansu
isi pani se bharta umr ka paimana aata hai

ilahi log kyun ho ho ke KHush firdaus jate hain
magar is bagh se aage koi virana aata hai

dil-e-zar aur shast-e-yar mein ek rah hai maKHfi
KHata ho kar bhi sidha nawak-e-jaanana aata hai

chala hun ghar se uTh kar kabe ki jaanib magar mujh ko
taraddud hai ki raste mein mere mai-KHana aata hai

mujhe gardish mein paya daur-e-charKH-e-barin kahe
ki mere sath chakkar mein mera kashana aata hai

ye raghbat hai use aghyar se jab sher kahta hai
to mazmun bhi KHayal-e-yar mein begana aata hai

tere kuche mein ho jata hai kya insan par jadu
abhi hushiyar jata hai abhi diwana aata hai

gaya jo is KHam-e-gesu mein wan ka ho raha 'salik'
ye hairat hai salamat kyun ki phir kar shana aata hai

(497) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai written by Qurban Ali Salik Beg at UrduPoint. Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai is one of the masterpieces written by Qurban Ali Salik Beg. You can also find the complete poetry collection of Qurban Ali Salik Beg by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qurban Ali Salik Beg' above.

Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Meri KHatir Mein Saqi Kab Tera Paimana Aata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.