Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe, Urdu Ghazal By Qurban Ali Salik Beg

Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Qurban Ali Salik Beg. Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رکھو وہ شیوہ نہ مد نظر نظر میں رہے

قربان علی سالک بیگ

رکھو وہ شیوہ نہ مد نظر نظر میں رہے

کہ جس سے راز محبت بشر بشر میں رہے

چمن جو بن کے ترا رہ گزر گزر میں رہے

تو نخل طور کا جلوہ شجر شجر میں رہے

عزیز تر ہے اگر ہو سرشک میں تاثیر

لطیف تر ہے جو آب گہر گہر میں رہے

ادھر تمام کیا آسماں نے اپنا کام

ادھر پھنسے ہوئے اہل ہنر ہنر میں رہے

وفور غم سے یہ جی میں ہے روئیے اس طرح

نہ دل میں حال نہ خون جگر جگر میں رہے

بری خبر ہو تو اس طرح نامہ بر کہنا

کہ صدق و کذب کا شک بے خبر خبر میں رہے

سمجھ کے عشق کر اے دل کہ کیا نہیں معلوم

جو سوچتے نہیں نفع و ضرر ضرر میں رہے

اٹھاؤ قبر میں بھی لذت خلش تا حشر

خدا کرے کہ خدنگ جگر جگر میں رہے

وفا ہماری ستم آپ کے کچھ ایسے ہوں

کہ مدتوں یہی چرچا بشر بشر میں رہے

شب فراق ملی تیرہ روزگاری میں

سحر گزر گئی اور ہم سحر میں رہے

ہم ان کی بزم میں بیٹھے رہے ولیکن یوں

کہ جیسے رہرو راہ خطر خطر میں رہے

کھچے جو سینے سے نالہ تو چاہیے اے دل

مثال معنی لفظ اثر اثر میں رہے

شب وصال کی یا رب نہ روشنی کم ہو

وہ نور عارض رشک قمر قمر میں رہے

تمیز غم کو دیا تھا فلک نے عیش اتنا

کہ جیسے جلوۂ رنگ شرر شرر میں رہے

ہمارے قتل کو لو نازکی سے پہلے صلاح

ابھی تو خنجر‌ زیب کمر کمر میں رہے

ادائے شرم میں لاکھوں اشارے ہیں سالکؔ

جھکی ہوئی یہ کسی کی نظر نظر میں رہے

قربان علی سالک بیگ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe

Qurban Ali Salik Beg

rakho wo shewa na madd-e-nazar nazar mein rahe
ki jis se raaz-e-mohabbat bashar bashar mein rahe

chaman jo ban ke tera rahguzar guzar mein rahe
to naKHl-e-tur ka jalwa shajar shajar mein rahe

aziz tar hai agar ho sarishk mein tasir
latif-tar hai jo aab-e-guhar guhar mein rahe

udhar tamam kiya aasman ne apna kaam
idhar phanse hue ahl-e-hunar hunar mein rahe

wufur-e-gham se ye ji mein hai roiye is tarah
na dil mein haal na KHun-e-jigar jigar mein rahe

buri KHabar ho to is tarah nama-bar kahna
ki sidq-o-kizb ka shak be-KHabar KHabar mein rahe

samajh ke ishq kar ai dil ki kya nahin malum
jo sochte nahin naf-o-zarar zarar mein rahe

uThao qabr mein bhi lazzat-e-KHalish ta-hashr
KHuda kare ki KHadang-e-jigar jigar mein rahe

wafa hamari sitam aap ke kuchh aise hon
ki muddaton yahi charcha bashar bashar mein rahe

shab-e-firaq mili tira-rozgari mein
sahar guzar gai aur hum sahar mein rahe

hum un ki bazm mein baiThe rahe wa-lekin yun
ki jaise rahraw-e-rah-e-KHatar KHatar mein rahe

khiche jo sine se nala to chahiye ai dil
misal-e-mani-e-lafz-e-asar asar mein rahe

shab-e-visal ki yarab na raushni kam ho
wo nur-e-ariz-e-rashk-e-qamar qamar mein rahe

tamiz gham ko diya tha falak ne aish itna
ki jaise jalwa-e-rang-e-sharar sharar mein rahe

hamare qatl ko lo nazuki se pahle salah
abhi to KHanjar-e-zeb-e-kamar kamar mein rahe

ada-e-sharm mein lakhon ishaare hain 'salik'
jhuki hui ye kisi ki nazar nazar mein rahe

(393) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe written by Qurban Ali Salik Beg at UrduPoint. Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe is one of the masterpieces written by Qurban Ali Salik Beg. You can also find the complete poetry collection of Qurban Ali Salik Beg by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Qurban Ali Salik Beg' above.

Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rakho Wo Shewa Na Madd-e-nazar Nazar Mein Rahe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.