Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun, Urdu Ghazal By R P Shokh

Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, R P Shokh. Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

شہر میں بن کے محبت کا گداگر مانگوں

آر پی شوخ

شہر میں بن کے محبت کا گداگر مانگوں

مجھ کو مانگے سے ملے وہ تو میں در در مانگوں

دہر کی دار پہ جھولوں بھی تو کیسے جھولوں

غم دنیا بھی ترے قد کے برابر مانگوں

اک طرف دل کہ ترے غم سے ابھرتا ہی نہیں

اک طرف میں کہ تری دید کا گوہر مانگوں

تیری یادوں کی اڑانیں بھی بہت خوب مگر

دل یہ کہتا ہے ترے لمس کا شہ پر مانگوں

زندگی میری ہے کشکول تہی کی صورت

اس بھکاری سے میں مانگوں بھی تو کیا زر مانگوں

ایک پتھر تری راہوں سے ہٹا ہوں جب سے

آج یہ حال کہ ہر پاؤں سے ٹھوکر مانگوں

آر پی شوخ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun

R P Shokh

shahr mein ban ke mohabbat ka gadagar mangun
mujh ko mange se mile wo to main dar dar mangun

dahr ki dar pe jhulun bhi to kaise jhulun
gham-e-duniya bhi tere qad ke barabar mangun

ek taraf dil ki tere gham se ubharta hi nahin
ek taraf main ki teri did ka gauhar mangun

teri yaadon ki uDanen bhi bahut KHub magar
dil ye kahta hai tere lams ka shahpar mangun

zindagi meri hai kashkol-e-tahi ki surat
us bhikari se main mangun bhi to kya zar mangun

ek patthar teri rahon se haTa hun jab se
aaj ye haal ki har panw se Thokar mangun

(312) ووٹ وصول ہوئے

You can read Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun written by R P Shokh at UrduPoint. Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun is one of the masterpieces written by R P Shokh. You can also find the complete poetry collection of R P Shokh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of R P Shokh' above.

Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Shahr Mein Ban Ke Mohabbat Ka Gadagar Mangun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.