Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai, Urdu Ghazal By Raaz Yazdani

Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raaz Yazdani. Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہیں کہ اپنی تباہی کا رازؔ کو غم ہے

راز یزدانی

نہیں کہ اپنی تباہی کا رازؔ کو غم ہے

تمہاری زحمت عہد کرم کا ماتم ہے

نثار جلوہ دل و دیں ذرا نقاب اٹھا

وہ ایک لمحہ سہی ایک لمحہ کیا کم ہے

کسی نے چاک کیا ہے گلوں کا پیراہن

شعاع مہر تجھے اعتماد شبنم ہے

قضا کا خوف ہے اچھا مگر اس آفت میں

یہ معجزہ بھی کہ ہم جی رہے ہیں کیا کم ہے

وہ رقص شعلہ وہ سوز و گداز پروانہ

جدھر چراغ ہیں روشن عجیب عالم ہے

حدود دیر و حرم سے گزر چکا شاید

کہ اب اجازت سجدہ ہے اور پیہم ہے

شمیم غنچہ و گل رنگ لالہ نغمۂ موج

ترے جمال کی جو شرح ہے وہ مبہم ہے

لطافتوں سے زمانہ بھرا پڑا ہے مگر

مری نظر کی ضرورت سے کس قدر کم ہے

فریب دل نے محبت میں کھائے ہیں کیا کیا

ہر اک فریب پر اب تک یقین محکم ہے

مری نگاہ کہاں تک جواب دے آخر

تری نگاہ کا ہر ہر سوال مبہم ہے

ابھی تو اپنی نگاہوں کے التفات کو روک

ابھی تو منظر ہستی تمام مبہم ہے

راز یزدانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai

Raaz Yazdani

nahin ki apni tabahi ka 'raaz' ko gham hai
tumhaari zahmat-e-ahd-e-karam ka matam hai

nisar-e-jalwa dil-o-din zara naqab uTha
wo ek lamha sahi ek lamha kya kam hai

kisi ne chaak kiya hai gulon ka pairahan
shua-e-mehr tujhe e'timad-e-shabnam hai

qaza ka KHauf hai achchha magar is aafat mein
ye moajiza bhi ki hum ji rahe hain kya kam hai

wo raqs-e-shoala wo soz-o-gudaz-e-parwana
jidhar charagh hain raushan ajib aalam hai

hudud-e-dair-o-haram se guzar chuka shayad
ki ab ijazat-e-sajda hai aur paiham hai

shamim-e-ghuncha-o-gul rang-e-lala naghma-e-mauj
tere jamal ki jo sharh hai wo mubham hai

latafaton se zamana bhara paDa hai magar
meri nazar ki zarurat se kis qadar kam hai

fareb dil ne mohabbat mein khae hain kya kya
har ek fareb par ab tak yaqin-e-mohkam hai

meri nigah kahan tak jawab de aaKHir
teri nigah ka har har sawal mubham hai

abhi to apni nigahon ke iltifat ko rok
abhi to manzar-e-hasti tamam mubham hai

(410) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai written by Raaz Yazdani at UrduPoint. Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai is one of the masterpieces written by Raaz Yazdani. You can also find the complete poetry collection of Raaz Yazdani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raaz Yazdani' above.

Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nahin Ki Apni Tabahi Ka Raaz Ko Gham Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.