AaKHir-e-shab Ke Mehman, Urdu Nazam By Rabia Barni

AaKHir-e-shab Ke Mehman is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Rabia Barni. AaKHir-e-shab Ke Mehman comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read AaKHir-e-shab Ke Mehman on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آخر شب کے مہمان

رابعہ برنی

پھر رات کی لانبی پلکوں پر

تخیل کے موتی ڈھلتے ہیں

پھر وقت کا افسوں جاگا ہے

خوشیوں کے خزانے لٹتے ہیں

اور دل کے ضیافت خانے کے

ہر گوشے میں شمعیں جلتی ہیں

پھولوں سے سجی ہیں محرابیں

خوشیوں کی دہکتی منقل سے

تنویر کے ہالے بنتے ہیں

خوابیدہ دریچے کھلتے ہیں

دروازوں کے پردے ہلتے ہیں

مہمانوں کے قدموں کی آہٹ

ہر سمت سنائی دیتی ہے

اس محفل حسن و خوبی میں

میں ان سے مقابل ہوتی ہوں

یہ ہاتھ جو میرے ہاتھ میں ہیں

پھولوں سے زیادہ نازک ہیں

ان زلفوں کے امڈے یا دل میں

مہتاب سا چہرہ روشن ہے

تسلیم کو سر جھکتا ہے کوئی

یا شاخ ہوا سے لچکی ہے

چاندی کے کٹورے بجتے ہیں

یا اس کے لبوں پر جنبش ہے

ان آنکھوں نے مجھ کو دیکھا ہے

یا ٹوٹ کے تارے برسے ہیں

یہ رات جو میرے مہمانوں کا

اس طرح سواگت کرتی ہے

اس رات کے پھیلے دامن پر

میں شکر کے سجدے کرتی ہوں

رابعہ برنی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

AaKHir-e-shab Ke Mehman

Rabia Barni

phir raat ki lanbi palkon par
taKHayyul ke moti Dhalte hain
phir waqt ka afsun jaga hai
KHushiyon ke KHazane luTte hain
aur dil ke ziyafat-KHane ke
har goshe mein shamen jalti hain
phulon se saji hain mehraben
KHushiyon ki dahakti minqal se
tanwir ke haale bante hain
KHwabida dariche khulte hain
darwazon ke parde hilte hain

mehmanon ke qadmon ki aahaT
har samt sunai deti hai
is mahfil-e-husn-o-KHubi mein
main un se muqabil hoti hun
ye hath jo mere hath mein hain
phulon se ziyaada nazuk hain
in zulfon ke umDe ya dil mein
mahtab sa chehra raushan hai
taslim ko sar jhukta hai koi
ya shaKH hawa se lachki hai
chandi ke kaTore bajte hain
ya us ke labon par jumbish hai
in aankhon ne mujh ko dekha hai
ya TuT ke tare barse hain

ye raat jo mere mehmanon ka
is tarah swagat karti hai
is raat ke phaile daman par
main shukr ke sajde karti hun

(383) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read AaKHir-e-shab Ke Mehman written by Rabia Barni at UrduPoint. AaKHir-e-shab Ke Mehman is one of the masterpieces written by Rabia Barni. You can also find the complete poetry collection of Rabia Barni by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rabia Barni' above.

AaKHir-e-shab Ke Mehman is a widely read Urdu Nazam. If you like AaKHir-e-shab Ke Mehman, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.