Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein, Urdu Ghazal By Raees Niyazi

Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raees Niyazi. Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو نور دیکھتا ہوں میں جام شراب میں

رئیس نیازی

جو نور دیکھتا ہوں میں جام شراب میں

وہ آفتاب میں ہے نہ وہ ماہتاب میں

اس طرح عزم زہد ہے عہد شباب میں

چلنے کا جیسے قصد کرے کوئی خواب میں

میری نظر سے چھپ کے رہیں وہ حجاب میں

میرے ندیم کیا مہ و انجم ہیں خواب میں

مجھ کو سنائے جاتے ہیں افسانے خلد کے

ڈوبا ہوا ہوں مستئ شعر و شراب میں

آخر طلسم غنچہ و گل ٹوٹ کر رہا

میری نظر سے چھپ نہ سکے وہ حجاب میں

انسان کھا رہا ہے فریب حیات کیوں

کشتی کبھی رواں بھی ہوئی ہے سراب میں

بیگانۂ نظر تھے ہمیں اس کا کیا علاج

شامل ہیں رحمتیں بھی کسی کے عتاب میں

ہر منظر جمیل پہ گو رک گئی نظر

ٹھہرے مگر تمہیں نگہ انتخاب میں

میرا ہر اک نفس ہے پیام رضائے دوست

زاہد پھنسا ہوا ہے عذاب و ثواب میں

ہر منظر جمیل کو ٹھکرا کے اے رئیسؔ

خود سامنے ہوں اپنی نظر کے جواب میں

رئیس نیازی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein

Raees Niyazi

jo nur dekhta hun main jam-e-sharab mein
wo aaftab mein hai na wo mahtab mein

is tarah azm-e-zohd hai ahd-e-shabab mein
chalne ka jaise qasd kare koi KHwab mein

meri nazar se chhup ke rahen wo hijab mein
mere nadim kya mah-o-anjum hain KHwab mein

mujh ko sunae jate hain afsane KHuld ke
Duba hua hun masti-e-sher-o-sharab mein

aaKHir tilism-e-ghuncha-o-gul TuT kar raha
meri nazar se chhup na sake wo hijab mein

insan kha raha hai fareb-e-hayat kyun
kashti kabhi rawan bhi hui hai sarab mein

begana-e-nazar the hamin is ka kya ilaj
shamil hain rahmaten bhi kisi ke itab mein

har manzar-e-jamil pe go ruk gai nazar
Thahre magar tumhin nigah-e-intiKHab mein

mera har ek nafas hai payam-e-raza-e-dost
zahid phansa hua hai azab-o-sawab mein

har manzar-e-jamil ko Thukra ke ai 'rais'
KHud samne hon apni nazar ke jawab mein

(518) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein written by Raees Niyazi at UrduPoint. Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein is one of the masterpieces written by Raees Niyazi. You can also find the complete poetry collection of Raees Niyazi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raees Niyazi' above.

Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Nur Dekhta Hun Main Jam-e-sharab Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.