Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main, Urdu Ghazal By Rafia Shabnam Abidi

Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rafia Shabnam Abidi. Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس کی خاطر عمر گنوائی اک دنیا کو بھولی میں

رفیعہ شبنم عابدی

جس کی خاطر عمر گنوائی اک دنیا کو بھولی میں

جی کہتا تھا اس سے کہہ دوں لیکن کیسے کہتی میں

میری ذات کا جس کی نظر سے اتنا گہرا رشتہ ہے

اس کی آنکھ سمندر جیسی ہری بھری اک دھرتی ہے

بند کواڑوں پر اک جانی پہچانی دستک جو سنی

یوں ہی ڈوپٹہ چھوڑ کے بھاگی ننگے پاؤں ہی پگلی میں

کس کا چہرہ دیکھ لیا تھا سوتے سوتے بچپن میں

خوابوں کی خوش رنگ ندی میں برسوں ڈوبی ابھری میں

سب سے بڑا یہ جرم تھا میرا اسی لئے بدنام ہوئی

ساری دنیا جہاں گری تھی اسی موڑ پر سنبھلی میں

یہ بھی سچ ہے ایسے کب تک مل جل کر چل سکتے تھے

کچھ تو وہ بھی تھا ہرجائی تھوڑی سی تھی ضدی میں

یوں ہی شاید جاتے جاتے اس نے ادھر بھی دیکھا ہو

جاڑوں کا موسم تھا لیکن سر سے پا تک بھیگی میں

میرے لئے تو جینے کا یہ ایک سہارا کافی ہے

کوئی چاہے کچھ بھی کہہ لے تیری نظر میں اچھی میں

میری مجبوری نے شبنمؔ جس کو بد ظن کر ڈالا

اس کی قسم تھی جان سے پیاری جھوٹی کیسے کھاتی میں

رفیعہ شبنم عابدی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main

Rafia Shabnam Abidi

jis ki KHatir umr ganwai ek duniya ko bhuli main
ji kahta tha us se kah dun lekin kaise kahti main

meri zat ka jis ki nazar se itna gahra rishta hai
us ki aankh samundar jaisi hari-bhari ek dharti hai

band kiwaDon par ek jaani pahchani dastak jo suni
yunhi DupaTTa chhoD ke bhagi nange panw hi pagli main

kis ka chehra dekh liya tha sote sote bachpan mein
KHwabon ki KHush-rang nadi mein barson Dubi ubhri mein

sab se baDa ye jurm tha mera isi liye badnam hui
sari duniya jahan giri thi usi moD par sanbhli main

ye bhi sach hai aise kab tak mil-jul kar chal sakte the
kuchh to wo bhi tha harjai thoDi si thi ziddi main

yunhi shayad jate jate us ne idhar bhi dekha ho
jaDon ka mausam tha lekin sar se pa tak bhigi main

mere liye to jine ka ye ek sahaara kafi hai
koi chahe kuchh bhi kah le teri nazar mein achchhi main

meri majburi ne 'shabnam' jis ko bad-zan kar Dala
us ki qasam thi jaan se pyari jhuTi kaise khati main

(525) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main written by Rafia Shabnam Abidi at UrduPoint. Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main is one of the masterpieces written by Rafia Shabnam Abidi. You can also find the complete poetry collection of Rafia Shabnam Abidi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rafia Shabnam Abidi' above.

Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Ki KHatir Umr Ganwai Ek Duniya Ko Bhuli Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.