KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main, Urdu Ghazal By Rafiq Khawar Jaskani

KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rafiq Khawar Jaskani. KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خلا کی منزل پایاب کا پتا بھی میں

رفیق خاور جسکانی

خلا کی منزل پایاب کا پتا بھی میں

اور اپنے آپ میں اک بے کراں خلا بھی میں

فضا کے سینے میں بیتاب شورشیں مجھ سے

دل وجود کی اک آہ نارسا بھی میں

میں اپنی شاخ خمیدہ کا برگ شوریدہ

شجر کا جسم بھی میں جسم سے جدا بھی میں

ترے وجود کے ادراک تک پہنچتی ہوئی

یقیں کی گونج بھی میں وہم کی ہوا بھی میں

مجھی سے فکر و نظر کے صنم کدے روشن

اور اپنے آپ کو اب تک نہ پا سکا بھی میں

جمال صبح سکوں شام اضطراب کا رنگ

سکوت زرد بھی میں سرخیٔ صدا بھی میں

ورائے فہم ہے میرے تضاد کا عالم

کہ نوک خار بھی میں اور برہنہ پا بھی میں

مرے ستم کی خراشیں مرے ہی چہرے پر

اودھ کی شام بھی میں اور ہیروشیما بھی میں

مرے جنوں کے کرشمے مری ریا کے طلسم

کہ ویتنام بھی میں اور جینوا بھی میں

بقول شاعر مشرق میں اپنا قاتل جاں

ہوائے تند بھی میں برگ بے نوا بھی میں

زوال آدم خاکی کی ابتدا مجھ سے

اور اس کی عظمت پیہم کا ارتقا بھی میں

مجھی کو چھو نہ سکی ڈارونؔ کی حد گماں

اور آج خلوت مہتاب تک رسا بھی میں

مجھے تو جیسے وہ ان دیکھا راستا نہ لگا

خلا کے جادۂ مانوس پر چلا بھی میں

فنا کی موج مری روح کے مکاں سے خجل

اسیر وقت بھی میں وقت سے ورا بھی میں

حصار جسم کے دیوار و بام میں محبوس

حدود کون و مکاں سے گزر گیا بھی میں

گدائے نطق بھی میں خالق ازل کے حضور

اور اپنے درد کی آواز کا خدا بھی میں

مرے شرارۂ فن سے ہے روشنی ہر سو

اور اپنے شعلۂ احساس میں جلا بھی میں

زبان حرف کی سحر آفرینیاں مجھ سے

لب خیال کی تقریر بے صدا بھی میں

میں اس کی سوچ کا اک شاہکار بھی خاورؔ

اور اس کے شوق کا دلچسپ حادثا بھی میں

رفیق خاور جسکانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main

Rafiq Khawar Jaskani

KHala ki manzil-e-payab ka pata bhi main
aur apne aap mein ek be-karan KHala bhi main

faza ke sine mein betab shorishen mujh se
dil-e-wajud ki ek aah-e-na-rasa bhi main

main apni shaKH-e-KHamida ka barg-e-shorida
shajar ka jism bhi main jism se juda bhi main

tere wajud ke idrak tak pahunchti hui
yaqin ki gunj bhi main wahm ki hawa bhi main

mujhi se fikr-o-nazar ke sanam-kade raushan
aur apne aap ko ab tak na pa saka bhi main

jamal-e-subh-e-sukun sham-e-iztirab ka rang
sukut-e-zard bhi main surKHi-e-sada bhi main

wara-e-fahm hai mere tazad ka aalam
ki nok-e-KHar bhi main aur barahna-pa bhi main

mere sitam ki KHarashen mere hi chehre par
awadh ki sham bhi main aur hiroshima bhi main

mere junun ke karishme meri riya ke tilism
ki wietnam bhi main aur genewa bhi main

ba-qaul-e-shair-e-mashriq main apna qatil-e-jaan
hawa-e-tund bhi main barg-e-be-nawa bhi main

zawal-e-adam-e-KHaki ki ibtida mujh se
aur us ki azmat-e-paiham ka irtiqa bhi main

mujhi ko chhu na saki 'darwin' ki hadd-e-guman
aur aaj KHalwat-e-mahtab tak rasa bhi main

mujhe to jaise wo an-dekha rasta na laga
KHala ke jada-e-manus par chala bhi main

fana ki mauj meri ruh ke makan se KHajil
asir-e-waqt bhi main waqt se wara bhi main

hisar-e-jism ke diwar-o-baam mein mahbus
hudun-e-kaun-o-makan se guzar gaya bhi main

gada-e-nutq bhi main KHaliq-e-azal ke huzur
aur apne dard ki aawaz ka KHuda bhi main

mere sharara-e-fan se hai raushni har su
aur apne shoala-e-ehsas mein jala bhi main

zaban-e-harf ki sehr-afriniyan mujh se
lab-e-KHayal ki taqrir-e-be-sada bhi main

main us ki soch ka ek shahkar bhi 'KHawar'
aur us ke shauq ka dilchasp hadisa bhi main

(434) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main written by Rafiq Khawar Jaskani at UrduPoint. KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main is one of the masterpieces written by Rafiq Khawar Jaskani. You can also find the complete poetry collection of Rafiq Khawar Jaskani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rafiq Khawar Jaskani' above.

KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHala Ki Manzil-e-payab Ka Pata Bhi Main, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.