TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath, Urdu Ghazal By Rahbar Jaunpuri

TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahbar Jaunpuri. TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تخت نشینوں کا کیا رشتہ تہذیب و آداب کے ساتھ

رہبر جونپوری

تخت نشینوں کا کیا رشتہ تہذیب و آداب کے ساتھ

یہ جب چاہیں جنگ کرا دیں رستم کی سہراب کے ساتھ

ظلم و تشدد کے شیدائی شاید تجھ کو علم نہیں

تیرے بھی سپنے ٹوٹیں گے میرے ہر اک خواب کے ساتھ

کنکر پتھر کی تعمیریں مذہب کا مفہوم نہیں

ذہنوں کی تعمیر بھی کیجے گنبد اور محراب کے ساتھ

قاتل بن کر وہ بھی کھڑے ہیں آج ہمارے پیش نظر

ہم نے جن کو عزت بخشی اعزاز و القاب کے ساتھ

اردو کو خود خون بہا کر جوڑ رہے ہیں رشتے لوگ

غالبؔ و مومنؔ منشیؔ و ملاؔ چکبستؔ و سیمابؔ کے ساتھ

رفتہ رفتہ ڈوب رہے ہیں میخانے ویرانی میں

جب سے میری پیاس کا رشتہ قائم ہے زہراب کے ساتھ

ایوانوں میں امن و اخوت کی جو باتیں کرتے ہیں

اپنا اپنا دامن دیکھیں کشمیر و پنجاب کے ساتھ

یاروں کی طوطا چشمی کا آخر اتنا شکوہ کیوں

رہبرؔ تم بھی کب مخلص تھے خود اپنے احباب کے ساتھ

رہبر جونپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath

Rahbar Jaunpuri

taKHt-nashinon ka kya rishta tahzib-o-adab ke sath
ye jab chahen jang kara den rustam ki sohrab ke sath

zulm-o-tashaddud ke shaidai shayad tujh ko ilm nahin
tere bhi sapne TuTenge mere har ek KHwab ke sath

kankar patthar ki tamiren mazhab ka mafhum nahin
zehnon ki tamir bhi kije gumbad aur mehrab ke sath

qatil ban kar wo bhi khaDe hain aaj hamare pesh nazar
hum ne jin ko izzat baKHshi ezaz-o-alqab ke sath

urdu ko KHud KHun baha kar joD rahe hain rishte log
'ghaalib'-o-'momin' 'munshi'-o-'mulla' 'chakbast'-o-'simab' ke sath

rafta rafta Dub rahe hain maiKHane virani mein
jab se meri pyas ka rishta qaem hai zahrab ke sath

aiwanon mein amn-o-aKHuwwat ki jo baaten karte hain
apna apna daman dekhen kashmir-o-panjab ke sath

yaron ki tota-chashmi ka aaKHir itna shikwa kyun
'rahbar' tum bhi kab muKHlis the KHud apne ahbab ke sath

(618) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath written by Rahbar Jaunpuri at UrduPoint. TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath is one of the masterpieces written by Rahbar Jaunpuri. You can also find the complete poetry collection of Rahbar Jaunpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahbar Jaunpuri' above.

TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath is a widely read Urdu Ghazal. If you like TaKHt-nashinon Ka Kya Rishta Tahzib-o-adab Ke Sath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.