Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh, Urdu Ghazal By Rahbar Tabani Dariyabadi

Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahbar Tabani Dariyabadi. Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جگر میں درد نہ رکھ دل میں اضطراب نہ رکھ

رہبر تابانی دریاآبادی

جگر میں درد نہ رکھ دل میں اضطراب نہ رکھ

تو اپنی آنکھوں میں اس بے وفا کے خواب نہ رکھ

جنوں زدہ ہی نکالیں گے اب کوئی صورت

خرد پرستوں سے امید انقلاب نہ رکھ

امیر شہر کی خوشنودیوں سے کیا حاصل

تو رہن اس کے لئے ہونٹوں کے گلاب نہ رکھ

نہ جانے کون سے دروازے سے وہ داخل ہو

کسی بھی دور میں بند اپنے دل کے باب نہ رکھ

سفر اگر ہے ضروری تو جا مگر اے دوست

کسی بھی شخص کو ہم راہ و ہم رکاب نہ رکھ

وہ اپنے فن کی بدولت کہاں نہیں مقبول

ہنر وروں کے سر احسان انتخاب نہ رکھ

شباب تو ہے بذات خود ایک ہنگامہ

تو مجھ پہ تہمت ہنگامۂ شباب نہ رکھ

خود اپنا تجزیہ کر اپنی خامیوں کو ڈھونڈ

کسی کی ذات پہ الزام اجتناب نہ رکھ

جو ہونا ہے یہیں ہو جائے اے مرے مولا

مرا حساب سر روز احتساب نہ رکھ

جو مجھ سے ملنا ہے رہبرؔ تو مل کھلے دل سے

کہ درمیاں کوئی پردہ کوئی حجاب نہ رکھ

رہبر تابانی دریاآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh

Rahbar Tabani Dariyabadi

jigar mein dard na rakh dil mein iztirab na rakh
tu apni aankhon mein us bewafa ke KHwab na rakh

junun-zada hi nikalenge ab koi surat
KHirad-paraston se ummid-e-inqalab na rakh

amir-e-shahr ki KHushnudiyon se kya hasil
tu rehn us ke liye honTon ke gulab na rakh

na jaane kaun se darwaze se wo daKHil ho
kisi bhi daur mein band apne dil ke bab na rakh

safar agar hai zaruri to ja magar ai dost
kisi bhi shaKHs ko hamrah-o-ham-rikab na rakh

wo apne fan ki badaulat kahan nahin maqbul
hunar-waron ke sar ehsan-e-intiKHab na rakh

shabab to hai ba-zat-e-KHud ek hangama
tu mujh pe tohmat-e-hangama-e-shabab na rakh

KHud apna tajziya kar apni KHamiyon ko DhunD
kisi ki zat pe ilzam-e-ijtinab na rakh

jo hona hai yahin ho jae ai mere maula
mera hisab sar-e-roz-e-ehtisab na rakh

jo mujh se milna hai 'rahbar' to mil khule dil se
ki darmiyan koi parda koi hijab na rakh

(380) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh written by Rahbar Tabani Dariyabadi at UrduPoint. Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh is one of the masterpieces written by Rahbar Tabani Dariyabadi. You can also find the complete poetry collection of Rahbar Tabani Dariyabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahbar Tabani Dariyabadi' above.

Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jigar Mein Dard Na Rakh Dil Mein Iztirab Na Rakh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.