Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye, Urdu Ghazal By Rahbar Tabani Dariyabadi

Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahbar Tabani Dariyabadi. Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

معرفت کے لئے آگہی کے لئے

رہبر تابانی دریاآبادی

معرفت کے لئے آگہی کے لئے

نور حق چاہئے روشنی کے لئے

جی رہے ہیں کسی کی خوشی کے لئے

ورنہ کیا ہے یہاں زندگی کے لئے

آپ اپنا تعارف سر انجمن

کتنا مشکل ہے اک اجنبی کے لئے

دشت غربت میں کچھ اور ممکن نہیں

جگنوؤں کے سوا روشنی کے لئے

رکھ دیے آبشاروں نے دل کھول کر

دشت میں ایک پیاسی ندی کے لئے

وقت کے آگے اس نے بھی رکھ دی سپر

جو تھا مشہور اپنی خودی کے لئے

رہبرؔ اعزاز عہدہ قیادت انا

مسئلہ بن گئے آدمی کے لئے

رہبر تابانی دریاآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye

Rahbar Tabani Dariyabadi

marifat ke liye aagahi ke liye
nur-e-haq chahiye raushni ke liye

ji rahe hain kisi ki KHushi ke liye
warna kya hai yahan zindagi ke liye

aap apna taaruf sar-e-anjuman
kitna mushkil hai ek ajnabi ke liye

dasht-e-ghurbat mein kuchh aur mumkin nahin
jugnuon ke siwa raushni ke liye

rakh diye aabshaaron ne dil khol kar
dasht mein ek pyasi nadi ke liye

waqt ke aage us ne bhi rakh di sipar
jo tha mashhur apni KHudi ke liye

'rahbar' eazaz ohda qayaadat ana
masala ban gae aadmi ke liye

(515) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye written by Rahbar Tabani Dariyabadi at UrduPoint. Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye is one of the masterpieces written by Rahbar Tabani Dariyabadi. You can also find the complete poetry collection of Rahbar Tabani Dariyabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahbar Tabani Dariyabadi' above.

Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Marifat Ke Liye Aagahi Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.