Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin, Urdu Ghazal By Rahi Shahabi

Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahi Shahabi. Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ناکام میری کوشش ضبط الم نہیں

راہی شہابی

ناکام میری کوشش ضبط الم نہیں

یوں مطمئن ہوں جیسے مجھے کوئی غم نہیں

تاریکیوں میں آج بھی گم ہے وہ رہ گزر

جس کو نصیب آپ کے نقش قدم نہیں

اس دور میں کہ جس میں ہے جنس وفا کا قحط

ہم سے وفا شعار جو باقی ہیں کم نہیں

تیرے سوا کسی سے اجالوں کی بھیک لے

کم ظرف اس قدر تو مری شام غم نہیں

بکھرے ہوئے سے راہیؔ یہ اوراق زندگی

اپنی حیات زلف پریشاں سے کم نہیں

راہی شہابی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin

Rahi Shahabi

nakaam meri koshish-e-zabt-e-alam nahin
yun mutmain hun jaise mujhe koi gham nahin

tarikiyon mein aaj bhi gum hai wo rahguzar
jis ko nasib aap ke naqsh-e-qadam nahin

is daur mein ki jis mein hai jins-e-wafa ka qaht
hum se wafa-shiar jo baqi hain kam nahin

tere siwa kisi se ujalon ki bhik le
kam-zarf is qadar to meri sham-e-gham nahin

bikhre hue se 'rahi' ye auraq-e-zindagi
apni hayat zulf-e-pareshan se kam nahin

(699) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin written by Rahi Shahabi at UrduPoint. Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin is one of the masterpieces written by Rahi Shahabi. You can also find the complete poetry collection of Rahi Shahabi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahi Shahabi' above.

Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nakaam Meri Koshish-e-zabt-e-alam Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.