UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun, Urdu Ghazal By Rahman Jami

UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rahman Jami. UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اجڑ کر بھی نشان‌ گلستاں خود کو سمجھتا ہوں

رحمان جامی

اجڑ کر بھی نشان‌ گلستاں خود کو سمجھتا ہوں

لہو دیتا ہوں اس کو باغباں خود کو سمجھتا ہوں

کمال شعر رکھتا ہوں جواں خود کو سمجھتا ہوں

ہمیشہ سے جنوں کا رازداں خود کو سمجھتا ہوں

سدا میں دل کی سنتا ہوں تو کرتا بھی ہوں من مانی

وہ ناداں ہوں کہ پھر وجہ زیاں خود کو سمجھتا ہوں

نکالا مجھ کو جنت سے خدا کی مہربانی نے

لہٰذا آج تک خلد آشیاں خود کو سمجھتا ہوں

میں زندہ ہوں ہزاروں زخم کھا کر بھی محبت میں

نہ جانے کیوں میں اپنا مہرباں خود کو سمجھتا ہوں

ہوں وارث قیس کا اور عصر کی لیلیٰ کا ہوں عاشق

زمانے میں وفا کی داستاں خود کو سمجھتا ہوں

بنا کر شاخ نازک پر نشیمن چار تنکوں کا

چمن میں صرف اہل آشیاں خود کو سمجھتا ہوں

میں اپنی موت سے ڈرتا نہیں ہوں اس لئے جامیؔ

سدا آزاد زیر آسماں خود کو سمجھتا ہوں

مرے اشعار خود ہی ہیں مرا نام و نشاں جامیؔ

مگر میں تو ترا نام و نشاں خود کو سمجھتا ہوں

رحمان جامی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun

Rahman Jami

ujaD kar bhi nishan-e-gulsitan KHud ko samajhta hun
lahu deta hun is ko baghban KHud ko samajhta hun

kamal-e-sher rakhta hun jawan KHud ko samajhta hun
hamesha se junun ka raaz-dan KHud ko samajhta hun

sada main dil ki sunta hun to karta bhi hun man-mani
wo nadan hun ki phir wajh-e-ziyan KHud ko samajhta hun

nikala mujh ko jannat se KHuda ki mehrbani ne
lihaza aaj tak KHuld-ashiyan KHud ko samajhta hun

main zinda hun hazaron zaKHm kha kar bhi mohabbat mein
na jaane kyun main apna mehrban KHud ko samajhta hun

hun waris qais ka aur asr ki laila ka hun aashiq
zamane mein wafa ki dastan KHud ko samajhta hun

bana kar shaKH-e-nazuk par nasheman chaar tinkon ka
chaman mein sirf ahl-e-ashiyan KHud ko samajhta hun

main apni maut se Darta nahin hun is liye 'jami'
sada aazad zer-e-asman KHud ko samajhta hun

mere ashaar KHud hi hain mera nam-o-nishan 'jami'
magar main to tera nam-o-nishan KHud ko samajhta hun

(451) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun written by Rahman Jami at UrduPoint. UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun is one of the masterpieces written by Rahman Jami. You can also find the complete poetry collection of Rahman Jami by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rahman Jami' above.

UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun is a widely read Urdu Ghazal. If you like UjaD Kar Bhi Nishan-e-gulsitan KHud Ko Samajhta Hun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.