Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein, Urdu Ghazal By Rais Farogh

Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rais Farogh. Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہوس کا رنگ زیادہ نہیں تمنا میں

رئیس فروغ

ہوس کا رنگ زیادہ نہیں تمنا میں

ابھی یہ موج ہے بیگانگی کے صحرا میں

سمندروں میں ستاروں کی آگ پھیلی ہے

مہک رہا ہے لہو لذت نظارہ میں

ہوا نے ابر بہاراں سے بے وفائی کی

خبر کرو کسی آرام گاہ تنہا میں

دلوں کے بند دریچوں سے جھانک کر دیکھو

کسی فساد کی پرچھائیاں ہیں دنیا میں

فریب تھا جو مجھے زعم بے کرانی تھا

اداس ہیں مرے ساحل فراق دریا میں

مجھے تو ایک ترا حسن ہی بہت ہے مگر

ترے لیے بھی بہت کچھ ہے خواب فردا میں

رئیس فروغ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein

Rais Farogh

hawas ka rang ziyaada nahin tamanna mein
abhi ye mauj hai beganagi ke sahra mein

samundaron mein sitaron ki aag phaili hai
mahak raha hai lahu lazzat-e-nazara mein

hawa ne abr-e-bahaaran se bewafai ki
KHabar karo kisi aaram-gah-e-tanha mein

dilon ke band darichon se jhank kar dekho
kisi fasad ki parchhaiyan hain duniya mein

fareb tha jo mujhe zoam-e-be-karani tha
udas hain mere sahil firaq-e-dariya mein

mujhe to ek tera husn hi bahut hai magar
tere liye bhi bahut kuchh hai KHwab-e-farda mein

(413) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein written by Rais Farogh at UrduPoint. Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein is one of the masterpieces written by Rais Farogh. You can also find the complete poetry collection of Rais Farogh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rais Farogh' above.

Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hawas Ka Rang Ziyaada Nahin Tamanna Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.