Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai, Urdu Ghazal By Rais Siddiqui

Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rais Siddiqui. Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بس اک خطا کی مسلسل سزا ابھی تک ہے

رئیس صدیقی

بس اک خطا کی مسلسل سزا ابھی تک ہے

مرے خلاف مرا آئینہ ابھی تک ہے

سبھی چراغ اندھیروں سے مل گئے لیکن

حریف موج ہوا اک دیا ابھی تک ہے

مٹا سکے نہ اسے حادثوں کے دریا بھی

وہ ایک نام جو دل پر لکھا ابھی تک ہے

گری ہے میری جو دستار غم ہوا لیکن

یہ شکر کرتا ہوں بند قبا ابھی تک ہے

نظر اٹھا کے کہا مے کدے میں ساقی نے

وہ کون ہے جو یہاں پارسا ابھی تک ہے

نہ جانے کون سے صدموں کا شور تھا اس میں

گزر چکا وہ ادھر سے صدا ابھی تک ہے

رئیس صدیقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai

Rais Siddiqui

bas ek KHata ki musalsal saza abhi tak hai
mere KHilaf mera aaina abhi tak hai

sabhi charagh andheron se mil gae lekin
harif-e-mauj-e-hawa ek diya abhi tak hai

miTa sake na use hadson ke dariya bhi
wo ek nam jo dil par likha abhi tak hai

giri hai meri jo dastar gham hua lekin
ye shukr karta hun band-e-qaba abhi tak hai

nazar uTha ke kaha mai-kade mein saqi ne
wo kaun hai jo yahan parsa abhi tak hai

na jaane kaun se sadmon ka shor tha is mein
guzar chuka wo idhar se sada abhi tak hai

(576) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai written by Rais Siddiqui at UrduPoint. Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai is one of the masterpieces written by Rais Siddiqui. You can also find the complete poetry collection of Rais Siddiqui by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rais Siddiqui' above.

Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Bas Ek KHata Ki Musalsal Saza Abhi Tak Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.