Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe, Urdu Ghazal By Raja Naushad Ali Khan

Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Raja Naushad Ali Khan. Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کس طرح چین سے دم بھر شب فرقت میں رہے

راجہ نوشاد علی خان

کس طرح چین سے دم بھر شب فرقت میں رہے

ہائے وہ دل جو ترے وصل کی حسرت میں رہے

ہم پس مرگ بھی بیتابیٔ فرقت میں رہے

کبھی باہر نکل آئے کبھی تربت میں رہے

تیرگی اب نہ ہماری شب فرقت میں رہے

ان کی زلفوں میں رہے غیر کی تربت میں رہے

کوئے قاتل میں رہے ہم یہ اذیت میں رہے

نیم بسمل کی طرح شوق شہادت میں رہے

صبح تک مجھ سے وہ لپٹا شب وصلت میں رہے

رات بھر آج اثر جذب محبت میں رہے

غیر کے اشکوں سے دھوئیں تو نہ دامن سے چھٹے

اتنی شوخی تو مرے خون کی رنگت میں رہے

رنگ ہلکا سا ہو جن پھولوں کا وہ پہنو تم

کچھ تکلف بھی مری جان نزاکت میں رہے

غیر کے ساتھ وہ جب پھول چڑھانے آئے

ہم بہت دل کو سنبھالے ہوئے تربت میں رہے

تیری سرکار میں انصاف یہی ہے اے عشق

آرزو کوئی نکالے کوئی حسرت میں رہے

ذبح کے وقت وہ زانو پہ مرا سر رکھ لے

کچھ تو آرام کا پہلو بھی اذیت میں رہے

دم خندہ در دندانں کا اگر عکس پڑے

کچھ چمک بھی ترے رخسار کی رنگت میں رہے

لطف کیا پائے ہیں ہنس بول کے ہم نے تم نے

گل و بلبل کی طرح باغ محبت میں رہے

پوچھیں احوال مرا وہ تو یہ کہنا قاصد

شب کو بے چین بہت درد کی شدت میں رہے

دل نہ قابو میں رہا دیکھ کے صورت ان کی

غش سے فرصت ہوئی ہم کو تو حیرت میں رہے

میں تو گھبرا کے چلا ہوں کسی کوچے کی طرف

بیکسی آ کے مرے گھر شب فرقت میں رہے

بد گماں ہوں میں دکھائے نہ کسی کو صورت

یا مرے دل میں رہے یا کوئی خلوت میں رہے

رخ روشن پہ جو تم زلف سیہ بکھرا دو

پھر نہ کچھ خوف سحر کا شب وصلت میں رہے

بعد مردن نہ جگہ پائی کسی کوچے میں

مفت برباد حسینوں کی محبت میں رہے

مری تربت سے لپٹ کر یہ کسی کا کہنا

آپ اب حشر تلک وصل کی حسرت میں رہے

زانوئے حور پہ سویا کئے سر رکھے ہوئے

ترے کشتے بھی بڑی عیش سے تربت میں رہے

بعد مرنے کے کھلی ہیں جو ہماری آنکھیں

ہے اشارہ ترے دیدار کی حسرت میں رہے

دھجیاں شیخ کی اس طرح اڑاؤ رندو

ایک بھی تار نہ دستار فضیلت میں رہے

بے نقاب آ کے جو وہ قبر پہ غم کرتے ہیں

چاہتے ہیں کہ مری نعش نہ تربت میں رہے

کبھی دل تھام کے بیٹھے کبھی گھبرا اٹھے

کیا کہیں آپ سے کیوں کر شب فرقت میں رہے

ذبح کرتا کوئی زانو سے دبا کر سینہ

ہائے مشتاق شہادت اسی حسرت میں رہے

خوش نصیبی ہے جو پھرتا ہوں ترے کوچہ میں

آرزو ہے یہی گردش مری قسمت میں رہے

غیر کی قبر پہ وہ پھول چڑھایا کئے روز

آسرا ہم بھی لگائے ہوئے تربت میں رہے

حضرت شیخ جو میخانے میں آئیں نوشادؔ

ایک بھی تار نہ دستار فضیلت میں رہے

راجہ نوشاد علی خان

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe

Raja Naushad Ali Khan

kis tarah chain se dam bhar shab-e-furqat mein rahe
hae wo dil jo tere wasl ki hasrat mein rahe

hum pas-e-marg bhi betabi-e-furqat mein rahe
kabhi bahar nikal aae kabhi turbat mein rahe

tirgi ab na hamari shab-e-furqat mein rahe
un ki zulfon mein rahe ghair ki turbat mein rahe

ku-e-qatil mein rahe hum ye aziyyat mein rahe
nim-bismil ki tarah shauq-e-shahadat mein rahe

subh tak mujh se wo lipTa shab-e-waslat mein rahe
raat bhar aaj asar jazb-e-mohabbat mein rahe

ghair ke ashkon se dhoen to na daman se chhuTe
itni shoKHi to mere KHun ki rangat mein rahe

rang halka sa ho jin phulon ka wo pahno tum
kuchh takalluf bhi meri jaan nazakat mein rahe

ghair ke sath wo jab phul chaDhane aae
hum bahut dil ko sanbhaale hue turbat mein rahe

teri sarkar mein insaf yahi hai ai ishq
aarzu koi nikale koi hasrat mein rahe

zabh ke waqt wo zanu pe mera sar rakh le
kuchh to aaram ka pahlu bhi aziyyat mein rahe

dam-e-KHanda dar-e-dandan ka agar aks paDe
kuchh chamak bhi tere ruKHsar ki rangat mein rahe

lutf kya pae hain hans bol ke hum ne tum ne
gul-o-bulbul ki tarah bagh-e-mohabbat mein rahe

puchhen ahwal mera wo to ye kahna qasid
shab ko bechain bahut dard ki shiddat mein rahe

dil na qabu mein raha dekh ke surat un ki
ghash se fursat hui hum ko to hairat mein rahe

main to ghabra ke chala hun kisi kuche ki taraf
bekasi aa ke mere ghar shab-e-furqat mein rahe

bad-guman hun main dikhae na kisi ko surat
ya mere dil mein rahe ya koi KHalwat mein rahe

ruKH-e-raushan pe jo tum zulf-e-siyah bikhra do
phir na kuchh KHauf sahar ka shab-e-waslat mein rahe

baad murdan na jagah pai kisi kuche mein
muft barbaad hasinon ki mohabbat mein rahe

meri turbat se lipaT kar ye kisi ka kahna
aap ab hashr talak wasl ki hasrat mein rahe

zanu-e-hur pe soya kiye sar rakkhe hue
tere kushte bhi baDi aish se turbat mein rahe

baad marne ke khuli hain jo hamari aankhen
hai ishaara tere didar ki hasrat mein rahe

dhajjiyan shaiKH ki is tarah uDao rindo
ek bhi tar na dastar-e-fazilat mein rahe

be-naqab aa ke jo wo qabr pe gham karte hain
chahte hain ki meri nash na turbat mein rahe

kabhi dil tham ke baiThe kabhi ghabra uTThe
kya kahen aap se kyunkar shab-e-furqat mein rahe

zabh karta koi zanu se daba kar sina
hae mushtaq-e-shahadat isi hasrat mein rahe

KHush-nasibi hai jo phirta hun tere kuche mein
aarzu hai yahi gardish meri qismat mein rahe

ghair ki qabr pe wo phul chaDhaya kiye roz
aasra hum bhi lagae hue turbat mein rahe

hazrat-e-shaiKH jo maiKHane mein aaen 'naushad'
ek bhi tar na dastar-e-fazilat mein rahe

(499) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe written by Raja Naushad Ali Khan at UrduPoint. Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe is one of the masterpieces written by Raja Naushad Ali Khan. You can also find the complete poetry collection of Raja Naushad Ali Khan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Raja Naushad Ali Khan' above.

Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kis Tarah Chain Se Dam Bhar Shab-e-furqat Mein Rahe, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.