Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin, Urdu Ghazal By Rajendr Bahadur Mauj

Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rajendr Bahadur Mauj. Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جمال حسن درخشاں حریم جاں میں نہیں

راجیندر بہادر موج

جمال حسن درخشاں حریم جاں میں نہیں

وہ سجدے ڈھونڈھ رہا ہوں جو آستاں میں نہیں

کوئی نظام اثر آفریں فغاں میں نہیں

چراغ راہ کا سایہ بھی کارواں میں نہیں

اگر وہ سینۂ پر داغ عاشقاں میں نہیں

تو پھر کہاں ہیں وہ تارے جو آسماں میں نہیں

ٹپک رہی ہے ہر اک تنکے سے شعاع جمال

اسیر کوئی تجلی تو آشیاں میں نہیں

فنا ہو یا ہو بقا ہیں یہ سب فریب نظر

وہ کیا بہار میں ہے جو مری خزاں میں نہیں

شہید تیر محبت نہیں ہے دل شاید

وہ سرخیاں مرے مژگان خوں فشاں میں نہیں

جو وقت مجھ پہ محبت میں آ پڑا ہے نہ پوچھ

شریک دل بھی مرا میرے امتحاں میں نہیں

فلک پہ چھائیں ہیں کافر گھٹائیں ساون کی

مگر بغیر تیرے لطف گلستاں میں نہیں

ہوں آج فکر کا اک بحر بیکراں اے موجؔ

وہ موجؔ ہی نہیں بیتاب جو جہاں میں نہیں

راجیندر بہادر موج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin

Rajendr Bahadur Mauj

jamal-e-husn-e-daraKHshan harim-e-jaan mein nahin
wo sajde DhunDh raha hun jo aastan mein nahin

koi nizam-e-asar-afrin fughan mein nahin
charagh-e-rah ka saya bhi karwan mein nahin

agar wo sina-e-pur-dagh-e-ashiqan mein nahin
to phir kahan hain wo tare jo aasman mein nahin

Tapak rahi hai har ek tinke se shua-e-jamal
asir koi tajalli to aashiyan mein nahin

fana ho ya ho baqa hain ye sab fareb-e-nazar
wo kya bahaar mein hai jo meri KHizan mein nahin

shahid-e-tir-e-mohabbat nahin hai dil shayad
wo surKHiyan mere mizhgan-e-KHun-fishan mein nahin

jo waqt mujh pe mohabbat mein aa paDa hai na puchh
sharik-e-dil bhi mera mere imtihan mein nahin

falak pe chhain hain kafir ghaTaen sawan ki
magar baghair tere lutf gulsitan mein nahin

hun aaj fikr ka ek bahr-e-be-karan ai 'mauj'
wo 'mauj' hi nahin betab jo jahan mein nahin

(565) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin written by Rajendr Bahadur Mauj at UrduPoint. Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin is one of the masterpieces written by Rajendr Bahadur Mauj. You can also find the complete poetry collection of Rajendr Bahadur Mauj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rajendr Bahadur Mauj' above.

Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jamal-e-husn-e-daraKHshan Harim-e-jaan Mein Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.