Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya, Urdu Ghazal By Rajendr Bahadur Mauj

Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rajendr Bahadur Mauj. Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کر دیا پانی جگر اور دل کو دریا کر دیا

راجیندر بہادر موج

کر دیا پانی جگر اور دل کو دریا کر دیا

یہ مذاق غم نے کیا طوفان برپا کر دیا

یہ تری امید نے کیا حال میرا کر دیا

زندگی تو زندگی دشوار مرنا کر دیا

ہو نہ ہو کچھ بات تو ہے نیت وعدہ بخیر

چاندنی نے کیوں مرے گھر میں اندھیرا کر دیا

ایک شعلہ ہی سہی الفت مگر احساں یہ ہے

جادۂ تاریک ہستی میں اجالا کر دیا

یاس کی پیہم کرشمہ سازیوں کا شکریہ

ناگوارا رنج فرقت کو گوارا کر دیا

رفتہ رفتہ کھنچ کے اک نقطے میں دنیا آ گئی

جب قیود دہر سے دل کو مبرا کر دیا

نعرۂ العشق ربی لب پہ ہر ذرے کے ہے

طور دل کی وادیوں میں کس نے جلوا کر دیا

التفات حسن و کیف عشق و عیش وصل دوست

گردش ایام نے ان سب کو سپنا کر دیا

پار خود ہی کر دیا امواج طوفاں نے مجھے

موجؔ میں نے خود کو جب بے دست و بے پا کر دیا

راجیندر بہادر موج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya

Rajendr Bahadur Mauj

kar diya pani jigar aur dil ko dariya kar diya
ye mazaq-e-gham ne kya tufan barpa kar diya

ye teri ummid ne kya haal mera kar diya
zindagi to zindagi dushwar marna kar diya

ho na ho kuchh baat to hai niyyat-e-wada ba-KHair
chandni ne kyon mere ghar mein andhera kar diya

ek shoala hi sahi ulfat magar ehsan ye hai
jada-e-tarik-e-hasti mein ujala kar diya

yas ki paiham karishma-saziyon ka shukriya
nagawara ranj-e-furqat ko gawara kar diya

rafta rafta khinch ke ek nuqte mein duniya aa gai
jab quyud-e-dahr se dil ko mubarra kar diya

nara-e-al-ishq-e-rabbi lab pe har zarre ke hai
tur-e-dil ki wadiyon mein kis ne jalwa kar diya

iltifat-e-husn-o-kaif-e-ishq-o-aish-e-wasl-e-dost
gardish-e-ayyam ne in sab ko sapna kar diya

par KHud hi kar diya amwaj-e-tufan ne mujhe
'mauj' main ne KHud ko jab be-dast-o-be-pa kar diya

(568) ووٹ وصول ہوئے

You can read Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya written by Rajendr Bahadur Mauj at UrduPoint. Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya is one of the masterpieces written by Rajendr Bahadur Mauj. You can also find the complete poetry collection of Rajendr Bahadur Mauj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rajendr Bahadur Mauj' above.

Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kar Diya Pani Jigar Aur Dil Ko Dariya Kar Diya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.