Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye, Urdu Ghazal By Rajendr Bahadur Mauj

Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rajendr Bahadur Mauj. Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں خود ہی عشق میں مجبور ہوں وفا کے لئے

راجیندر بہادر موج

میں خود ہی عشق میں مجبور ہوں وفا کے لئے

خدا کا واسطہ مجھ کو نہ دے خدا کے لئے

نہ عام کر تو مذاق جفا خدا کے لئے

یہ دل بہت ہے ترے جور ناروا کے لئے

تھی ناگزیر فنا عالم بقا کے لئے

اک انتہا بھی ضروری تھی ابتدا کے لئے

مجھے دعاؤں سے اپنی نہیں امید اثر

مگر ہنوز میں آمادہ ہوں دعا کے لئے

انہیں کو مانگ لوں ان سے جو وہ اجازت دیں

میں انتظار میں ہوں اذن التجا کے لئے

مجاز اور حقیقت ہیں سد راہ جمال

یہ سب فریب ہیں چشم حق آشنا کے لئے

شمیم زلف تری اس کو مل گئی شاید

سکون آج میسر نہیں صبا کے لئے

چمن ہے وہ ہیں بہاریں ہیں اور فرصت ہے

اب انتظار ہے گھنگھور اک گھٹا کے لئے

وفا کی کوششیں فکر وصال رنج فراق

بڑے عذاب ہیں اک جان مبتلا کے لئے

جہان عشق مکمل نہیں ہوا اب تک

مکاں اجڑ گئے لاکھوں اسی بنا کے لئے

شکست عہد غم ہجر انتظار سحر

دوا کہاں ہے مرے درد لا دوا کے لئے

یہ دل ہے پہلے بھی دل ہی تھا لیکن اب اے دوست

بنا دیا اسے پتھر تری جفا کے لئے

یہ ذوق سیر مرا یہ تباہیٔ طوفاں

میں اک وبال ہوں اے موجؔ ناخدا کے لئے

راجیندر بہادر موج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye

Rajendr Bahadur Mauj

main KHud hi ishq mein majbur hun wafa ke liye
KHuda ka wasta mujh ko na de KHuda ke liye

na aam kar tu mazaq-e-jafa KHuda ke liye
ye dil bahut hai tere jaur-e-na-rawa ke liye

thi na-guzir fana aalam-e-baqa ke liye
ek intiha bhi zaruri thi ibtida ke liye

mujhe duaon se apni nahin umid-e-asar
magar hanuz main aamada hun dua ke liye

unhin ko mang lun un se jo wo ijazat den
main intizar mein hun izn-e-iltija ke liye

majaz aur haqiqat hain sadd-e-rah-e-jamal
ye sab fareb hain chashm-e-haq-ashna ke liye

shamim-e-zulf teri us ko mil gai shayad
sukun aaj mayassar nahin saba ke liye

chaman hai wo hain bahaaren hain aur fursat hai
ab intizar hai ghanghor ek ghaTa ke liye

wafa ki koshishen fikr-e-visal ranj-e-firaq
baDe azab hain ek jaan-e-mubtala ke liye

jahan-e-ishq mukammal nahin hua ab tak
makan ujaD gae lakhon isi bina ke liye

shikast-e-ahd gham-e-hijr intizar-e-sahar
dawa kahan hai mere dard-e-la-dawa ke liye

ye dil hai pahle bhi dil hi tha lekin ab ai dost
bana diya ise patthar teri jafa ke liye

ye zauq-e-sair mera ye tabahi-e-tufan
main ek wabaal hun ai 'mauj' naKHuda ke liye

(736) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye written by Rajendr Bahadur Mauj at UrduPoint. Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye is one of the masterpieces written by Rajendr Bahadur Mauj. You can also find the complete poetry collection of Rajendr Bahadur Mauj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rajendr Bahadur Mauj' above.

Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main KHud Hi Ishq Mein Majbur Hun Wafa Ke Liye, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.