Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai, Urdu Ghazal By Rajendr Bahadur Mauj

Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rajendr Bahadur Mauj. Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ جانے کون اس دل میں خراماں ہوتا جاتا ہے

راجیندر بہادر موج

نہ جانے کون اس دل میں خراماں ہوتا جاتا ہے

کہ ساز دل کا ہر نغمہ پریشاں ہوتا جاتا ہے

بلند اتنا مذاق چشم انساں ہوتا جاتا ہے

جو تارا ٹوٹ جاتا ہے رگ جاں ہوتا جاتا ہے

نہیں قسمت میں شاید لذت درد محبت بھی

سمجھتا ہوں جسے میں درد درماں ہوتا جاتا ہے

حقیقت وہ ہے جو نظروں پہ ظاہر ہوتی جاتی ہے

وہ باطل ہے کہ جو آنکھوں سے پنہاں ہوتا جاتا ہے

تمنا تو تمنا حسرتیں بھی اب نہیں باقی

سجایا تھا جو دل میں نے وہ ویراں ہوتا جاتا ہے

محبت رنگ و بو بن کر چمن پر چھائی جاتی ہے

ہر آنسو زینت جیب و گریباں ہوتا جاتا ہے

چھپاؤں کس طرح راز محبت ان کی محفل میں

اگر چپ ہوں تو آنکھوں سے نمایاں ہوتا جاتا ہے

مری تنہائی میں تنہائیاں شاید نہیں ہوتیں

تصور اس طرح کچھ جلوہ ساماں ہوتا جاتا ہے

محبت در حقیقت موجؔ بے پایاں سمندر ہے

جسے قطرہ سمجھتا تھا وہ طوفاں ہوتا جاتا ہے

راجیندر بہادر موج

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai

Rajendr Bahadur Mauj

na jaane kaun is dil mein KHiraman hota jata hai
ki saz-e-dil ka har naghma pareshan hota jata hai

buland itna mazaq-e-chashm-e-insan hota jata hai
jo tara TuT jata hai rag-e-jaan hota jata hai

nahin qismat mein shayad lazzat-e-dard-e-mohabbat bhi
samajhta hun jise main dard darman hota jata hai

haqiqat wo hai jo nazron pe zahir hoti jati hai
wo baatil hai ki jo aankhon se pinhan hota jata hai

tamanna to tamanna hasraten bhi ab nahin baqi
sajaya tha jo dil main ne wo viran hota jata hai

mohabbat rang-o-bu ban kar chaman par chhai jati hai
har aansu zinat-e-jaib-o-gareban hota jata hai

chhupaun kis tarah raaz-e-mohabbat un ki mahfil mein
agar chup hun to aankhon se numayan hota jata hai

meri tanhai mein tanhaiyan shayad nahin hotin
tasawwur is tarah kuchh jalwa-saman hota jata hai

mohabbat dar-haqiqat 'mauj' be-payan samundar hai
jise qatra samajhta tha wo tufan hota jata hai

(587) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai written by Rajendr Bahadur Mauj at UrduPoint. Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai is one of the masterpieces written by Rajendr Bahadur Mauj. You can also find the complete poetry collection of Rajendr Bahadur Mauj by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rajendr Bahadur Mauj' above.

Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Jaane Kaun Is Dil Mein KHiraman Hota Jata Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.