Na Qael Hote Hain Na Zail, Urdu Nazam By Rajinder Manchanda Bani

Na Qael Hote Hain Na Zail is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Rajinder Manchanda Bani. Na Qael Hote Hain Na Zail comes under the Sad, Social category of Urdu Nazam. You can read Na Qael Hote Hain Na Zail on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ قائل ہوتے ہیں نہ زائل

راجیندر منچندا بانی

بنجر چہرے

جن پر

نہ بارش کی پہلی بوند کا

اظہار اگتا ہے

نہ آتے جاتے لمحوں کا

کوئی اقرار انکار

نہ اطمینان نہ ڈر

آنکھیں

جن میں کوئی نگاہ

پلکوں سے نہیں الجھتی

باقی حواس بھی

خوشبو اور خوشبو کی شہرت سے

آواز اور آواز کی قوت سے

یکسر عاری ہیں

کون ہیں یہ لوگ

کس موج فضولیت کی زد میں آ گئے ہیں

چپ کھڑے ہیں

اور ہم

دن بھر میں

شہر کے سارے

فرشتوں اور شیطانوں سے

مل کر لوٹ آتے ہیں

مگر یہ چپ کھڑے ہیں

نہ قائل ہوتے ہیں

نہ زائل!

ان سے ہمارا تعلق

ابھی تک واضح نہیں ہوا

تعلق اس لیے

کہ ہم مزدور ہیں

اور یہ جاننے کا

اشتیاق رکھتے ہیں

ہمیں کیا کام ملے گا

ان کے لیے ٹاور بنانے کا

کہ ان کے لیے قبریں کھودنے کا!

راجیندر منچندا بانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Qael Hote Hain Na Zail

Rajinder Manchanda Bani

banjar chehre
jin par
na barish ki pahli bund ka
izhaar ugta hai
na aate jate lamhon ka
koi iqrar inkar
na itminan na Dar
aankhen
jin mein koi nigah
palkon se nahin ulajhti
baqi hawas bhi
KHushbu aur KHushbu ki shohrat se
aawaz aur aawaz ki quwwat se
yaksar aari hain
kaun hain ye log
kis mauj-e-fuzuliyat ki zad mein aa gae hain
chup khaDe hain
aur hum
din bhar mein
shahr ke sare
farishton aur shaitanon se
mil kar lauT aate hain
magar ye chup khaDe hain
na qael hote hain
na zail!
in se hamara talluq
abhi tak wazeh nahin hua
talluq is liye
ki hum mazdur hain
aur ye jaanne ka
ishtiyaq rakhte hain
hamein kya kaam milega
in ke liye tower banane ka
ki in ke liye qabren khodne ka!

(487) ووٹ وصول ہوئے

You can read Na Qael Hote Hain Na Zail written by Rajinder Manchanda Bani at UrduPoint. Na Qael Hote Hain Na Zail is one of the masterpieces written by Rajinder Manchanda Bani. You can also find the complete poetry collection of Rajinder Manchanda Bani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rajinder Manchanda Bani' above.

Na Qael Hote Hain Na Zail is a widely read Urdu Nazam. If you like Na Qael Hote Hain Na Zail, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Sad Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.