Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai, Urdu Ghazal By Ram Krishn Muztar

Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ram Krishn Muztar. Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

پھر کوئی خلش نزد رگ جاں تو نہیں ہے

رام کرشن مضطر

پھر کوئی خلش نزد رگ جاں تو نہیں ہے

پھر دل میں وہی نشتر مژگاں تو نہیں ہے

کیوں شام سے ڈوبے سے ہو امید کے تارو

آبادئ دل‌ شہر خموشاں تو نہیں ہے

کیوں ہے دل وحشت زدہ بیزار گلوں سے

تاحد نظر راہ بیاباں تو نہیں ہے

کیوں اٹھنے لگے آج قدم جانب صحرا

پھر جوش جنوں سلسلہ جنباں تو نہیں ہے

اے دوست رہ زیست بھی ہے تیرہ و پر خم

لیکن یہ تری کاکل پیچاں تو نہیں ہے

ہر چوٹ کا حاصل ہیں بلکتے ہوئے آنسو

یہ درد یہ غم قسمت انساں تو نہیں ہے

اے کاش کوئی موج مجھے اتنا بتا دے

ساحل پہ بھی یہ شورش طوفاں تو نہیں ہے

ہر شے میں ترے حسن کی ضو دیکھ رہا ہوں

ہاں مجھ کو تری ذات کا عرفاں تو نہیں ہے

پھولوں کی طرح ہنسنے لگے زخم ہزاروں

دل بھی کہیں مجروح بہاراں تو نہیں ہے

لہرانے لگے کیوں مری پلکوں میں حسیں خواب

یہ سایۂ گیسوئے پریشاں تو نہیں ہے

یہ رنگ یہ خوشبو یہ تبسم یہ شعاعیں

یہ انجمن زہرہ جبیناں تو نہیں ہے

اے دوست میں جیتا ہوں ترے غم کے سہارے

اغیار کا مجھ پر کوئی احساں تو نہیں ہے

یوں دل ہے ہر اک رنج و الم کا متحمل

لیکن غم دوراں غم جاناں تو نہیں ہے

یہ ناز یہ انداز یہ شوخی یہ ادائیں

اے دل یہ کہیں بزم حسیناں تو نہیں ہے

یہ چال یہ آنکھیں یہ نظر دیکھنا مضطرؔ

یہ شوخ وہی رشک غزالاں تو نہیں ہے

رام کرشن مضطر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai

Ram Krishn Muztar

phir koi KHalish nazd-e-rag-e-jaan to nahin hai
phir dil mein wahi nashtar-e-mizhgan to nahin hai

kyun sham se Dube se ho ummid ke taro
aabaadi-e-dil-e-shahr-e-KHamoshan to nahin hai

kyun hai dil-e-wahshat-zada bezar gulon se
ta-hadd-e-nazar rah-e-bayaban to nahin hai

kyun uThne lage aaj qadam jaanib-e-sahra
phir josh-e-junun silsila-e-jumba to nahin hai

ai dost rah-e-zist bhi hai tira-o-pur-KHam
lekin ye teri kakul-e-pechan to nahin hai

har choT ka hasil hain bilakte hue aansu
ye dard ye gham qismat-e-insan to nahin hai

ai kash koi mauj mujhe itna bata de
sahil pe bhi ye shorish-e-tufan to nahin hai

har shai mein tere husn ki zau dekh raha hun
han mujh ko teri zat ka irfan to nahin hai

phulon ki tarah hansne lage zaKHm hazaron
dil bhi kahin majruh-e-bahaaran to nahin hai

lahrane lage kyun meri palkon mein hasin KHwab
ye saya-e-gesu-e-pareshan to nahin hai

ye rang ye KHushbu ye tabassum ye shuaen
ye anjuman-e-zohra-jabinan to nahin hai

ai dost main jita hun tere gham ke sahaare
aghyar ka mujh par koi ehsan to nahin hai

yun dil hai har ek ranj-o-alam ka mutahammil
lekin gham-e-dauran gham-e-jaanan to nahin hai

ye naz ye andaz ye shoKHi ye adaen
ai dil ye kahin bazm-e-hasinan to nahin hai

ye chaal ye aankhen ye nazar dekhna 'muztar'
ye shoKH wahi rashk-e-ghazalan to nahin hai

(353) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai written by Ram Krishn Muztar at UrduPoint. Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai is one of the masterpieces written by Ram Krishn Muztar. You can also find the complete poetry collection of Ram Krishn Muztar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ram Krishn Muztar' above.

Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Phir Koi KHalish Nazd-e-rag-e-jaan To Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.