Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas, Urdu Ghazal By Ramz Azimabadi

Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ramz Azimabadi. Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تم پسینہ مت کہو ہے جانفشانی کا لباس

رمز عظیم آبادی

تم پسینہ مت کہو ہے جانفشانی کا لباس

دھوپ میں چلتے ہوئے رکھتے ہیں پانی کا لباس

پردہ پوشی کم سے کم ہوتی ہے ہر کردار کی

پیرہن لفظوں کا بنتا ہے کہانی کا لباس

پھر اجالے سے سفر ہوگا اندھیرے کی طرف

جب اتاریں گے بدن سے عمر فانی کا لباس

ساتھ چلتے ہیں چہکتے بولتے الزام بھی

بے شکن ہوتا نہیں یارو جوانی کا لباس

انقلاب وقت کا یہ بھی کرشمہ دیکھیے

ہے نمائش کے لیے اب آنجہانی کا لباس

مفلسی نے کر دیا ہے اس کی خودداری کا خون

وہ پہنتا ہے کسی کی مہربانی کا لباس

حکمراں تو دفن ہیں تاریخ کے اوراق میں

درس عبرت دے رہا ہے حکمرانی کا لباس

جگمگاتا ہے غزل کے جسم پر ہر دور میں

میلا ہوتا ہی نہیں جادو بیانی کا لباس

چند ساعت بھی خوشی کی اپنی قسمت میں کہاں

راس کب آیا ہے مجھ کو شادمانی کا لباس

رمزؔ وہ عہد غلامی ہو کہ دور حریت

اشتہار مفلسی ہندوستانی کا لباس

رمز عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas

Ramz Azimabadi

tum pasina mat kaho hai jaan-fishani ka libas
dhup mein chalte hue rakhte hain pani ka libas

parda-poshi kam se kam hoti hai har kirdar ki
pairahan lafzon ka banta hai kahani ka libas

phir ujale se safar hoga andhere ki taraf
jab utarenge badan se umr-e-fani ka libas

sath chalte hain chahakte bolte ilzam bhi
be-shikan hota nahin yaro jawani ka libas

inqilab-e-waqt ka ye bhi karishma dekhiye
hai numaish ke liye ab aan-jahani ka libas

muflisi ne kar diya hai us ki KHuddari ka KHun
wo pahanta hai kisi ki mehrbani ka libas

hukmaran to dafn hain tariKH ke auraq mein
dars-e-ibrat de raha hai hukmarani ka libas

jagmagata hai ghazal ke jism par har daur mein
maila hota hi nahin jadu-bayani ka libas

chand saat bhi KHushi ki apni qismat mein kahan
ras kab aaya hai mujh ko shadmani ka libas

'ramz' wo ahd-e-ghulami ho ki daur-e-hurriyat
ishtihaar-e-muflisi hindustani ka libas

(677) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas written by Ramz Azimabadi at UrduPoint. Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas is one of the masterpieces written by Ramz Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Ramz Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ramz Azimabadi' above.

Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tum Pasina Mat Kaho Hai Jaan-fishani Ka Libas, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.