Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai, Urdu Ghazal By Ranjoor Azimabadi

Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ranjoor Azimabadi. Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سودائے سجدہ شام و سحر میرے سر میں ہے

رنجور عظیم آبادی

سودائے سجدہ شام و سحر میرے سر میں ہے

اے بت کشش کچھ ایسی ترے سنگ در میں ہے

میں کب ہوں یہ مرا تن بے جاں حضر میں ہے

روح روان قالب تن تو سفر میں ہے

یہ ایک اثر تو ادویۂ چارہ گر میں ہے

شدت اب اور بھی مرے درد جگر میں ہے

سودائے عشق زلف سیہ جس کے سر میں ہے

کب مطلق امتیاز اسے نفع و ضرر میں ہے

کیا آئے گا کسی بت شیریں دہن پہ دل

کیوں میٹھا میٹھا درد ہمارے جگر میں ہے

چھیڑا مجھے کہ نوح کا طوفاں بپا ہوا

اک بحر اشک بند مری چشم تر میں ہے

پہنچا کسی کو صدمہ کہ ہم لوٹنے لگے

سارے جہاں کا درد ہمارے جگر میں ہے

نوک مژہ کا رہنے لگا دل میں پھر خیال

شدت کی ٹیس پھر مرے زخم جگر میں ہے

سودائے زلف یار میں ہے درد سر ضرور

اک خاص لطف بھی مگر اس درد سر میں ہے

میرا یہ نخل دل بھی ہے آزاد مثل سرو

گل اس شجر میں ہے نہ ثمر اس شجر میں ہے

چاہے تو لا مکاں کی بھی لے آئے یہ خبر

یہ زور طائر دل بے بال و پر میں ہے

دشنام سے بھی یار کی آتی ہے بوئے لطف

کچھ شک نہیں کہ خیر نہاں اس کے شر میں ہے

کچھ شک نہیں کہ قرب قیامت کی ہے دلیل

یہ فتنہ و فساد کہ اب بحر و بر میں ہے

ہو اس سے میرے دیدۂ تر کا مقابلہ

رنجورؔ اس کی تاب کہاں ابر تر میں ہے

رنجور عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai

Ranjoor Azimabadi

sauda-e-sajda sham-o-sahar mere sar mein hai
ai but kashish kuchh aisi tere sang-e-dar mein hai

main kab hun ye mera tan-e-be-jaan hazar mein hai
ruh-e-rawan-e-qalib-e-tan to safar mein hai

ye ek asar to adwiya-e-chaaragar mein hai
shiddat ab aur bhi mere dard-e-jigar mein hai

sauda-e-ishq zulf-e-siyah jis ke sar mein hai
kab mutlaq imtiyaz use nafa o zarar mein hai

kya aaega kisi but-e-shirin-dahan pe dil
kyun miTha miTha dard hamare jigar mein hai

chheDa mujhe ki nuh ka tufan bapa hua
ek bahr-e-ashk band meri chashm-e-tar mein hai

pahuncha kisi ko sadma ki hum loTne lage
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

nok-e-mizha ka rahne laga dil mein phir KHayal
shiddat ki Tis phir mere zaKHm-e-jigar mein hai

sauda-e-zulf-e-yar mein hai dard-e-sar zarur
ek KHas lutf bhi magar is dard-e-sar mein hai

mera ye naKHl-e-dil bhi hai aazad misl-e-sarw
gul is shajar mein hai na samar is shajar mein hai

chahe to la-makan ki bhi le aae ye KHabar
ye zor taer-e-dil-e-be-baal-o-par mein hai

dushnam se bhi yar ki aati hai bu-e-lutf
kuchh shak nahin ki KHair nihan us ke shar mein hai

kuchh shak nahin ki qurb-e-qayamat ki hai dalil
ye fitna o fasad ki ab bahr o bar mein hai

ho us se mere dida-e-tar ka muqabla
'ranjur' is ki tab kahan abr-e-tar mein hai

(710) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai written by Ranjoor Azimabadi at UrduPoint. Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai is one of the masterpieces written by Ranjoor Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Ranjoor Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ranjoor Azimabadi' above.

Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sauda-e-sajda Sham-o-sahar Mere Sar Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.