Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai, Urdu Ghazal By Rasheed Afroz

Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Rasheed Afroz. Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جس بات کا خدشہ تھا وہی بات ہوئی ہے

رشید افروز

جس بات کا خدشہ تھا وہی بات ہوئی ہے

گھر دور بہت دور ہے جب رات ہوئی ہے

تا حد نظر وادئ ویراں کی زمیں پر

کل رات مسلسل گھنی برسات ہوئی ہے

پہلے کبھی دیکھا تو نہیں ہے تمہیں لیکن

محسوس یہ ہوتا ہے ملاقات ہوئی ہے

یوں ہم نے سنواری ہے یہ تحریر محبت

الفاظ کی نقطوں کی مدارات ہوئی ہے

ساحل پہ جو پہنچا مجھے دریا نے صدا دی

اس کھیل میں پہلے بھی تمہیں مات ہوئی ہے

احساس غم ذات نے چپی سی لگا دی

جس وقت زمانے سے ملاقات ہوئی ہے

رشید افروز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai

Rasheed Afroz

jis baat ka KHadsha tha wahi baat hui hai
ghar dur bahut dur hai jab raat hui hai

ta-hadd-e-nazar wadi-e-viran ki zamin par
kal raat musalsal ghani barsat hui hai

pahle kabhi dekha to nahin hai tumhein lekin
mahsus ye hota hai mulaqat hui hai

yun hum ne sanwari hai ye tahrir-e-mohabbat
alfaz ki nuqton ki mudaraat hui hai

sahil pe jo pahuncha mujhe dariya ne sada di
is khel mein pahle bhi tumhein mat hui hai

ehsas-e-gham-e-zat ne chuppi si laga di
jis waqt zamane se mulaqat hui hai

(818) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai written by Rasheed Afroz at UrduPoint. Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai is one of the masterpieces written by Rasheed Afroz. You can also find the complete poetry collection of Rasheed Afroz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Rasheed Afroz' above.

Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jis Baat Ka KHadsha Tha Wahi Baat Hui Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.