Mahbuba Ki Qabr Par, Urdu Nazam By Ravish Nadeem

Mahbuba Ki Qabr Par is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ravish Nadeem. Mahbuba Ki Qabr Par comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Mahbuba Ki Qabr Par on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

محبوبہ کی قبر پر

روش ندیم

تری سانسیں حسیں موسم کو تھامے دور کی راہوں پہ جا نکلیں

مگر پھر بھی مری آنکھوں کے ساحل پر یہ لکھا ہے

کہ تو اک دن ہمیشہ کی طرح ہنستی مہکتی

شام کی پازیب جھنکاتی مرے گھر لوٹ آئے گی

مگر اس خواب کی کچی کلی جب بھی مہکنے کو ذرا تڑپی

تو سرکش آندھیاں چل دیں

سو اب تو ہی بتا مجھ کو

میں ہاتھوں کی لکیروں کے سفر پر جاؤں تو کیسے

میں ٹھہرا عکس کا قیدی

جو سوچوں کے سیہ پردے پہ تصویریں بناتا ہے

مجھے شہروں کے جنگل سے کہاں نروان ملنا تھا

یہ تیرے خواب کے اندھے بیاباں آج میرا گیان ٹھہرے ہیں

میں کاندھوں پر ازل سے آسماں رکھے

زمانوں کی تہوں میں گم

اسی پل کے دوراہے پر کھڑا آواز دیتا ہوں

کہ جس لمحے تری سانسیں

حسیں موسم کو تھامے دور کی راہوں پہ جا نکلیں

دلوں کے گنبدوں میں کوئی بھی نغمہ نہیں گونجا

نہ اندھی رات کے در پر کسی کی دستکیں گونجیں

میں خود پہ منکشف ہونے کو ہوں آخر

کہ میں اپنے تعاقب میں

تری یادوں کے دھندلے راستوں کا اک مسافر ہوں

سنہرے سورجوں کی ایک چنگاری کا طالب ہوں

روش ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Mahbuba Ki Qabr Par

Ravish Nadeem

teri sansen hasin mausam ko thame dur ki rahon pe ja niklen
magar phir bhi meri aankhon ke sahil par ye likkha hai
ki tu ek din hamesha ki tarah hansti mahakti
sham ki pazeb jhankati mere ghar lauT aaegi
magar is KHwab ki kachchi kali jab bhi mahakne ko zara taDpi
to sarkash aandhiyan chal den
so ab tu hi bata mujh ko
main hathon ki lakiron ke safar par jaun to kaise
main Thahra aks ka qaidi
jo sochon ke siyah parde pe taswiren banata hai
mujhe shahron ke jangal se kahan nirwan milna tha
ye tere KHwab ke andhe bayaban aaj mera gyan Thahre hain
main kandhon par azal se aasman rakkhe
zamanon ki tahon mein gum
usi pal ke dorahe par khaDa aawaz deta hun
ki jis lamhe teri sansen
hasin mausam ko thame dur ki rahon pe ja niklin
dilon ke gumbadon mein koi bhi naghma nahin gunja
na andhi raat ke dar par kisi ki dastaken gunjin
main KHud pe munkashif hone ko hun aaKHir
ki main apne taaqub mein
teri yaadon ke dhundle raston ka ek musafir hun
sunahre surajon ki ek chingari ka talib hun

(430) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Mahbuba Ki Qabr Par written by Ravish Nadeem at UrduPoint. Mahbuba Ki Qabr Par is one of the masterpieces written by Ravish Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Ravish Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ravish Nadeem' above.

Mahbuba Ki Qabr Par is a widely read Urdu Nazam. If you like Mahbuba Ki Qabr Par, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.