Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta, Urdu Ghazal By Riyaz Khairabadi

Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Riyaz Khairabadi. Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

الفت میں عیاں سوز بتاں ہو نہیں سکتا

ریاضؔ خیرآبادی

الفت میں عیاں سوز بتاں ہو نہیں سکتا

یہ آگ ہے ایسی کہ دھواں ہو نہیں سکتا

کیا پارۂ دل کوئی زباں ہو نہیں سکتا

کیا اڑ کے لہو رنگ فغاں ہو نہیں سکتا

او جلوہ‌‌ گہ طور کے کھل کھیلنے والے

کیا دل کوئی خلوت کا مکاں ہو نہیں سکتا

مجھ کو ہے لب جام شکستہ بھی مہ عید

ساقی یہ ہلال رمضاں ہو نہیں سکتا

جوبن سے ہے مسکی ہوئی محرم کا اشارہ

یہ دن وہ ہیں کوئی نگراں ہو نہیں سکتا

جانے میں وہاں آندھی ہے اے آہ رسا تو

کیا اشک رواں سیل رواں ہو نہیں سکتا

دن اور جگہ اور ہو اے داور محشر

انصاف حسینوں کا یہاں ہو نہیں سکتا

دیوانۂ لیلیٰ کو نہ لیلیٰ سے رہا کام

کچھ اور بلا ہے خفقاں ہو نہیں سکتا

جو دام اٹھیں حسن جوانی کے وہ کم ہیں

سودا یہ کسی طرح گراں ہو نہیں سکتا

بت خانے بنا کرتے ہیں کس طرح مساجد

جب نغمۂ ناقوس اذاں ہو نہیں سکتا

دیوانوں کا انداز اڑاتے ہیں عنادل

دیوانے میں یہ رنگ فغاں ہو نہیں سکتا

یہ جان کو میری ہے عذاب آٹھ پہر کا

دل سا بھی کوئی آفت جاں ہو نہیں سکتا

ہیں پیری و طفلی و جوانی کے مزے اور

دنیا سا کوئی اور جہاں ہو نہیں سکتا

بدلے ہوئے ہیں چرخ کے سب چاند ستارے

وہ وصل کی راتیں وہ سماں ہو نہیں سکتا

بننے کو ریاضؔ آپ بنیں کوہ کن و قیس

ہیں ساختہ باتیں خفقاں ہو نہیں سکتا

ریاضؔ خیرآبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta

Riyaz Khairabadi

ulfat mein ayan soz-e-butan ho nahin sakta
ye aag hai aisi ki dhuan ho nahin sakta

kya para-e-dil koi zaban ho nahin sakta
kya uD ke lahu rang-e-fughan ho nahin sakta

o jalwa-gah-e-tur ke khul-khelne wale
kya dil koi KHalwat ka makan ho nahin sakta

mujh ko hai lab-e-jam-e-shikasta bhi mah-e-id
saqi ye hilal-e-ramazan ho nahin sakta

joban se hai maski hui mahram ka ishaara
ye din wo hain koi nigaran ho nahin sakta

jaane mein wahan aandhi hai ai aah-e-rasa tu
kya ashk-e-rawan sail-e-rawan ho nahin sakta

din aur jagah aur ho ai dawar-e-mahshar
insaf hasinon ka yahan ho nahin sakta

diwana-e-laila ko na laila se raha kaam
kuchh aur bala hai KHafaqan ho nahin sakta

jo dam uThen husn-e-jawani ke wo kam hain
sauda ye kisi tarah garan ho nahin sakta

but-KHane bana karte hain kis tarah masajid
jab naghma-e-naqus azan ho nahin sakta

diwanon ka andaz uDate hain anadil
diwane mein ye rang-e-fughan ho nahin sakta

ye jaan ko meri hai azab aaTh-pahr ka
dil sa bhi koi aafat-e-jaan ho nahin sakta

hain piri-o-tifli-o-jawani ke maze aur
duniya sa koi aur jahan ho nahin sakta

badle hue hain charKH ke sab chand-sitare
wo wasl ki raaten wo saman ho nahin sakta

banne ko 'riyaz' aap banen kohkan-o-qais
hain saKHta baaten KHafaqan ho nahin sakta

(378) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta written by Riyaz Khairabadi at UrduPoint. Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta is one of the masterpieces written by Riyaz Khairabadi. You can also find the complete poetry collection of Riyaz Khairabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Riyaz Khairabadi' above.

Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ulfat Mein Ayan Soz-e-butan Ho Nahin Sakta, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.