Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di, Urdu Ghazal By Saail Dehlvi

Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saail Dehlvi. Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

امانت محتسب کے گھر شراب ارغواں رکھ دی

سائل دہلوی

امانت محتسب کے گھر شراب ارغواں رکھ دی

تو یہ سمجھو کہ بنیاد خربات مغاں رکھ دی

کہوں کیا پیش زاہد کیوں شراب ارغواں رکھ دی

مری توفیق جو کچھ تھی برائے میہماں رکھ دی

یہاں تک تو نبھایا میں نے ترک مے پرستی کو

کہ پینے کو اٹھا لی اور لیں انگڑائیاں رکھ دی

جناب شیخ مے خانے میں بیٹھے ہیں برہنہ سر

اب ان سے کون پوچھے آپ نے پگڑی کہاں رکھ دی

تمہیں پروا نہ ہو مجھ کو تو جنس دل کی پروا ہے

کہاں ڈھونڈوں کہاں پھینکی کہاں دیکھوں کہاں رکھ دی

لگا لیں گے اسے اہل وفا بے شبہ آنکھوں سے

اگر پائے عدو پر اس نے خاک آستاں رکھ دی

ادھر پر نوچ کر ڈالا قفس میں اف رے بیدردی

ادھر اک جلتی چنگاری میان آشیاں رکھ دی

ضمیر اس کا ڈبو دے گا اسے آب خجالت میں

وفاداری کی تہمت غیر پر کیوں بد گماں رکھ دی

ہوس مستی کی سائلؔ کو نہیں کافی ہے تھوڑی سی

پیالے میں اگر پس خوردۂ پیر مغاں رکھ دی

سائل دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di

Saail Dehlvi

amanat mohtasib ke ghar sharab-e-arghawan rakh di
to ye samjho ki buniyaad-e-KHarabaat-e-mughan rakh di

kahun kya pesh-e-zahid kyun sharab-e-arghawan rakh di
meri taufiq jo kuchh thi barae mehman rakh di

yahan tak to nibhaya main ne tark-e-mai-parasti ko
ki pine ko uTha li aur lin angDaiyan rakh di

janab-e-shaiKH mai-KHane mein baiThe hain barahna-sar
ab un se kaun puchhe aap ne pagDi kahan rakh di

tumhein parwa na ho mujh ko to jins-e-dil ki parwa hai
kahan DhunDun kahan phenki kahan dekhun kahan rakh di

laga lenge use ahl-e-wafa be-shubah aankhon se
agar pa-e-adu par us ne KHak-e-astan rakh di

idhar par noch kar Dala qafas mein uf re bedardi
udhar ek jalti chingari miyan-e-ashiyan rakh di

zamir us ka Dubo dega use aab-e-KHajalat mein
wafadari ki tohmat ghair par kyun bad-guman rakh di

hawas masti ki 'sail' ko nahin kafi hai thoDi si
pyale mein agar pas-KHurda-e-pir-e-mughan rakh di

(482) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di written by Saail Dehlvi at UrduPoint. Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di is one of the masterpieces written by Saail Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Saail Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saail Dehlvi' above.

Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di is a widely read Urdu Ghazal. If you like Amanat Mohtasib Ke Ghar Sharab-e-arghawan Rakh Di, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.