Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin, Urdu Ghazal By Saba Afghani

Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saba Afghani. Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کارواں لٹ گیا راہبر چھٹ گیا رات تاریک ہے غم کا یارا نہیں

صبا افغانی

کارواں لٹ گیا راہبر چھٹ گیا رات تاریک ہے غم کا یارا نہیں

راہ میں بھی کوئی شمع جلتی نہیں آسماں پر بھی کوئی ستارا نہیں

یہ بہار و خزاں یہ خوشی اور غم یہ حسیں نازنیں دل کے پتھر صنم

سب سہارے ہیں بس چار دن کے لیے زندگی بھر کا کوئی سہارا نہیں

میری غیرت مری آن کا امتحاں تیری سازش پہ بھاری ہے اے باغباں

جان دے دوں ابھی یہ تو منظور ہے گلستاں چھوڑ دوں یہ گوارا نہیں

گھٹ گئی یا تو ذوق سفر کی لگن بڑھ گئی یا نئی لغزشوں سے تھکن

کوئی تو بات ہے جو سر رہگزر آج منزل نے ہم کو پکارا نہیں

تم ہو مختار یہ دل کی آواز ہے آخر اس بات میں کون سا راز ہے

جس کو نسبت تمہارے ہی در سے رہی وہ مقدر بھی تم نے سنوارا نہیں

اس سے بڑھ کر کوئی اور کیسے جیے عمر بھر ہم نے اک بے وفا کے لیے

کون سی رات آنکھوں میں کاٹی نہیں کون سا دن تڑپ کر گزارا نہیں

راس آئے جسے اس کو آسان ہے عشق کی ورنہ ہر موج طوفان ہے

اے صباؔ ایک دریا ہے یہ آگ کا وہ بھی ایسا کہ جس کا کنارا نہیں

صبا افغانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin

Saba Afghani

karwan luT gaya rahbar chhuT gaya raat tarik hai gham ka yara nahin
rah mein bhi koi shama jalti nahin aasman par bhi koi sitara nahin

ye bahaar-o-KHizan ye KHushi aur gham ye hasin naznin dil ke patthar sanam
sab sahaare hain bas chaar din ke liye zindagi-bhar ka koi sahaara nahin

meri ghairat meri aan ka imtihan teri sazish pe bhaari hai ai baghban
jaan de dun abhi ye to manzur hai gulistan chhoD dun ye gawara nahin

ghaT gai ya to zauq-e-safar ki lagan baDh gai ya nai laghzishon se thakan
koi to baat hai jo sar-e-rah-guzar aaj manzil ne hum ko pukara nahin

tum ho muKHtar ye dil ki aawaz hai aaKHir is baat mein kaun sa raaz hai
jis ko nisbat tumhaare hi dar se rahi wo muqaddar bhi tum ne sanwara nahin

is se baDh kar koi aur kaise jiye umr-bhar hum ne ek bewafa ke liye
kaun si raat aankhon mein kaTi nahin kaun sa din taDap kar guzara nahin

ras aae jise us ko aasan hai ishq ki warna har mauj tufan hai
ai 'saba' ek dariya hai ye aag ka wo bhi aisa ki jis ka kinara nahin

(600) ووٹ وصول ہوئے

You can read Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin written by Saba Afghani at UrduPoint. Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin is one of the masterpieces written by Saba Afghani. You can also find the complete poetry collection of Saba Afghani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saba Afghani' above.

Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Karwan LuT Gaya Rahbar ChhuT Gaya Raat Tarik Hai Gham Ka Yara Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.