Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi, Urdu Ghazal By Sabir Abuhari

Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sabir Abuhari. Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہی ساغر وہی صہبا وہی مے خوار ہیں ساقی

صابر ابو ہری

وہی ساغر وہی صہبا وہی مے خوار ہیں ساقی

نظام نو کے کیا سچ مچ یہی آثار ہیں ساقی

خلوص دل ہے یا کچھ بے اثر اشعار ہیں ساقی

کریں کیا نذر تیری مفلس و نادار ہیں ساقی

نگاہ ناز کی مستی سے جو سرشار ہیں ساقی

وہ دیوانے حقیقت میں بہت ہشیار ہیں ساقی

پلا وہ جام جس سے مشکلیں آسان ہو جائیں

مراحل راہ الفت کے بہت دشوار ہیں ساقی

لکھا دیوار کا پڑھ لے خموشی کی صدا سن لے

بدلتے دور کے مبہم سے یہ آثار ہیں ساقی

جو کہتی تھیں کہ اک دن دید سے سرشار کر دیں گی

وہی آنکھیں بالآخر مانع دیدار ہیں ساقی

بہت کرتے ہیں کرنے کو تو دعوے جاں نثاری کا

جو تجھ پر جان دیتے ہیں فقط دو چار ہیں ساقی

عجب محفل ہے یہ محفل عجب عالم ہے یہ عالم

نہ ہم مجبور ہیں ساقی نہ ہم مختار ہیں ساقی

تیری بخشش کا یہ انداز کیا ہے کچھ نہیں کھلتا

جو ہیں اہل ہنر وہ لوگ ہی نادار ہیں ساقی

لگی دل کی بجھانے کو لپٹ جاتے ہیں شالوں سے

یہ پروانے کہاں کے پیکر ایثار ہیں ساقی

جو ہوتے ہیں اسیر جام وہ مے کش نہیں ہوتے

رہیں جو بے پیے سرشار وہ مے خوار ہیں ساقی

صابر ابو ہری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi

Sabir Abuhari

wahi saghar wahi sahba wahi mai-KHwar hain saqi
nizam-e-nau ke kya sach-much yahi aasar hain saqi

KHulus-e-dil hai ya kuchh be-asar ashaar hain saqi
karen kya nazr teri muflis-o-nadar hain saqi

nigah-e-naz ki masti se jo sarshaar hain saqi
wo diwane haqiqat mein bahut hushiyar hain saqi

pila wo jam jis se mushkilen aasan ho jaen
marahil rah-e-ulfat ke bahut dushwar hain saqi

likha diwar ka paDh le KHamoshi ki sada sun le
badalte daur ke mubham se ye aasar hain saqi

jo kahti thin ki ek din did se sarshaar kar dengi
wahi aankhen bil-aKHir mane-e-didar hain saqi

bahut karte hain karne ko to dawe jaan-nisari ka
jo tujh par jaan dete hain faqat do-chaar hain saqi

ajab mahfil hai ye mahfil ajab aalam hai ye aalam
na hum majbur hain saqi na hum muKHtar hain saqi

teri baKHshish ka ye andaz kya hai kuchh nahin khulta
jo hain ahl-e-hunar wo log hi nadar hain saqi

lagi dil ki bujhane ko lipaT jate hain shaalon se
ye parwane kahan ke paikar-e-isar hain saqi

jo hote hain asir-e-jam wo mai-kash nahin hote
rahen jo be-piye sarshaar wo mai-KHwar hain saqi

(531) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi written by Sabir Abuhari at UrduPoint. Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi is one of the masterpieces written by Sabir Abuhari. You can also find the complete poetry collection of Sabir Abuhari by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sabir Abuhari' above.

Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wahi Saghar Wahi Sahba Wahi Mai-KHwar Hain Saqi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.