Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai, Urdu Ghazal By Sajid Siddiqi Lakhnavi

Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajid Siddiqi Lakhnavi. Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جذبۂ عشق بھی ہے گرمئ بازار بھی ہے

ساجد صدیقی لکھنوی

جذبۂ عشق بھی ہے گرمئ بازار بھی ہے

حسن یوسف کا مگر کوئی خریدار بھی ہے

شعلۂ طور بھی ہے جلوہ گہہ بار بھی ہے

دیکھنا یہ ہے کوئی طالب دیدار بھی ہے

دل کا سودا مجھے منظور ہے لیکن اے دوست

میرا ہم ذوق بھی ہے مونس و غم خوار بھی ہے

کبھی بدلے ہوئے تیور کبھی دزدیدہ نظر

ایک ہی وقت میں اقرار بھی انکار بھی ہے

پر‌ ضیا بزم مسرت ہے ضیائے غم سے

جس جگہ پھول مہکتا ہے وہاں خار بھی ہے

چشم ساقی کا نہ مے خوار سہارا ڈھونڈیں

وہ سخن ساز بھی ہے اور جفا کار بھی ہے

میری دنیا میں وہی شام و سحر ہیں اب تک

زندگی تلخ بھی ہے اور گراں بار بھی ہے

دل ہتھیلی پہ لئے سر کو جھکائے رہنا

ان کا منشا بھی ہے عاشق کو سزاوار بھی ہے

جب غم دل کو مسیحا کی ضرورت ہی نہیں

اب میں سمجھا ہوں یہ اک عقدۂ دشوار بھی ہے

ساجدؔ خستہ کو آغوش کرم میں لے لے

تیرا بندہ بھی ہے اور تیرا گنہ گار بھی ہے

ساجد صدیقی لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai

Sajid Siddiqi Lakhnavi

jazba-e-ishq bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
husn-e-yusuf ka magar koi KHaridar bhi hai

shoala-e-tur bhi hai jalwa-gah-bar bhi hai
dekhna ye hai koi talib-e-didar bhi hai

dil ka sauda mujhe manzur hai lekin ai dost
mera ham-zauq bhi hai munis-o-gham-KHwar bhi hai

kabhi badle hue tewar kabhi duzdida nazar
ek hi waqt mein iqrar bhi inkar bhi hai

pur-ziya bazm-e-masarrat hai ziya-e-gham se
jis jagah phul mahakta hai wahan KHar bhi hai

chashm-e-saqi ka na mai-KHwar sahaara DhunDen
wo suKHan-saz bhi hai aur jafa-kar bhi hai

meri duniya mein wahi sham-o-sahar hain ab tak
zindagi talKH bhi hai aur giran-bar bhi hai

dil hatheli pe liye sar ko jhukae rahna
un ka mansha bhi hai aashiq ko saza-war bhi hai

jab gham-e-dil ko masiha ki zarurat hi nahin
ab main samjha hun ye ek uqda-e-dushwar bhi hai

'sajid'-e-KHasta ko aaghosh-e-karam mein le le
tera banda bhi hai aur tera gunahgar bhi hai

(356) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai written by Sajid Siddiqi Lakhnavi at UrduPoint. Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai is one of the masterpieces written by Sajid Siddiqi Lakhnavi. You can also find the complete poetry collection of Sajid Siddiqi Lakhnavi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajid Siddiqi Lakhnavi' above.

Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jazba-e-ishq Bhi Hai Garmi-e-bazar Bhi Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.