Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah, Urdu Ghazal By Sajjad Baqar Rizvi

Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sajjad Baqar Rizvi. Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ گھر کے آیا گھٹاؤں کی تیرگی کی طرح

سجاد باقر رضوی

وہ گھر کے آیا گھٹاؤں کی تیرگی کی طرح

برس پڑا مرے آنگن میں چاندنی کی طرح

وہ جس کے واسطے اک حرف مدعا نہ ملا

اتر گیا مرے سینے میں آگہی کی طرح

نظر بچا کے جسے دیکھتے تھے میرے حریف

سما گیا مری آنکھوں میں روشنی کی طرح

ہوا پہ جس کے قدم ہیں مثال نگہت گل

اسیر ہے مرے شعروں میں نغمگی کی طرح

مرا غزال کہ وحشت تھی جس کو سائے سے

لپٹ گیا مرے سینے سے آدمی کی طرح

مری نگاہ کو تو اپنے آئینے میں بھی دیکھ

جمی ہے تیرے لبوں پر شگفتگی کی طرح

کہاں کے شعر کہاں کی غزل یہ ذہن کی رو

بکھر گئی مرے کاغذ پہ شاعری کی طرح

زباں کھلی ہے تو دل پھٹ پڑا ہے صورت گل

وگرنہ ہم بھی تھے غم آپ میں کلی کی طرح

لحد میں ذہن کی مدفون پیکر اوہام

مری رگوں میں مچلتے ہیں زندگی کی طرح

یہ دھوپ‌ چھاؤں ہے دنیا کی خود مرا سایہ

مرے قریب سے گزرا ہے اجنبی کی طرح

غم زمانہ سے دل تنگ تھے بہت باقرؔ

سمٹ کے رہ گئے احساس‌ بیکسی کی طرح

سجاد باقر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah

Sajjad Baqar Rizvi

wo ghir ke aaya ghaTaon ki tirgi ki tarah
baras paDa mere aangan mein chandni ki tarah

wo jis ke waste ek harf-e-muddaa na mila
utar gaya mere sine mein aagahi ki tarah

nazar bacha ke jise dekhte the mere harif
sama gaya meri aankhon mein raushni ki tarah

hawa pe jis ke qadam hain misal-e-nighat-e-gul
asir hai mere sheron mein naghmagi ki tarah

mera ghazal ki wahshat thi jis ko sae se
lipaT gaya mere sine se aadmi ki tarah

meri nigah ko tu apne aaine mein bhi dekh
jami hai tere labon par shaguftagi ki tarah

kahan ke sher kahan ki ghazal ye zehn ki rau
bikhar gai mere kaghaz pe shairi ki tarah

zaban khuli hai to dil phaT paDa hai surat-e-gul
wagarna hum bhi the gham aap mein kali ki tarah

lahad mein zehn ki madfun paikar-e-auham
meri ragon mein machalte hain zindagi ki tarah

ye dhup-chhanw hai duniya ki KHud mera saya
mere qarib se guzra hai ajnabi ki tarah

gham-e-zamana se dil-tang the bahut 'baqar'
simaT ke rah gae ehsas-e-bekasi ki tarah

(531) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah written by Sajjad Baqar Rizvi at UrduPoint. Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah is one of the masterpieces written by Sajjad Baqar Rizvi. You can also find the complete poetry collection of Sajjad Baqar Rizvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sajjad Baqar Rizvi' above.

Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Ghir Ke Aaya GhaTaon Ki Tirgi Ki Tarah, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.