Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka, Urdu Ghazal By Sakhi Lakhnvi

Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sakhi Lakhnvi. Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل ہی میرا فقط ہے مطلب کا

سخی لکھنوی

دل ہی میرا فقط ہے مطلب کا

یا جگر بھی ہے آپ کے ڈھب کا

قیس و فرہاد سے میں ہوں واقف

ہو چکا ہے مقابلہ سب کا

کھائی ہے اک نئی مٹھائی آج

بوسہ پایا ہے یار کے لب کا

مے کدہ میں شراب پیتے ہیں

یہ پتا ہے ہمارے مشرب کا

شیعہ سنی میں تو بکھیڑے ہیں

نام لوں کس کے آگے مذہب کا

ملک الموت سے کہو پھر جائیں

جیتے جی مر چکا ہوں میں کب کا

آپ فرمائیں ہجر کا احوال

میں کروں ذکر وصل کی شب کا

صبح کو جھونکے نیند کے کیسے

کہیں جاگا ہوا ہے تو شب کا

اس کے کوچہ کی بھیک چاہتے ہیں

شوق جاگیر کا نہ منصب کا

رہے دن بھر وہ مدعی میرے

یاد کر کے معاملہ شب کا

برگ گل آ میں تیرے بوسے لوں

تجھ میں ہے ڈھنگ یار کے لب کا

نقد دل دیتا ہوں تو کہتے ہیں

واہ ایسا سخیؔ ہے تو کب کا

سخی لکھنوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka

Sakhi Lakhnvi

dil hi mera faqat hai matlab ka
ya jigar bhi hai aap ke Dhab ka

qais o farhad se main hun waqif
ho chuka hai muqabla sab ka

khai hai ek nai miThai aaj
bosa paya hai yar ke lab ka

mai-kade mein sharab pite hain
ye pata hai hamare mashrab ka

shia sunni mein to bakheDe hain
nam lun kis ke aage mazhab ka

malak-ul-maut se kaho phir jaen
jite-ji mar chuka hun main kab ka

aap farmaen hijr ka ahwal
main karun zikr wasl ki shab ka

subh ko jhonke nind ke kaise
kahin jaga hua hai tu shab ka

us ke kucha ki bhik chahte hain
shauq jagir ka na mansab ka

rahe din bhar wo muddai mere
yaad kar ke muamla shab ka

barg-e-gul aa main tere bose lun
tujh mein hai Dhang yar ke lab ka

naqd-e-dil deta hun to kahte hain
wah aisa 'saKHi' hai tu kab ka

(343) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka written by Sakhi Lakhnvi at UrduPoint. Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka is one of the masterpieces written by Sakhi Lakhnvi. You can also find the complete poetry collection of Sakhi Lakhnvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sakhi Lakhnvi' above.

Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil Hi Mera Faqat Hai Matlab Ka, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.