Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein, Urdu Ghazal By Salahuddin Nadeem

Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Salahuddin Nadeem. Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کچھ بھی کر پائے نہ ہم ہجر کی حیرانی میں

صلاح الدین ندیم

کچھ بھی کر پائے نہ ہم ہجر کی حیرانی میں

گھر بھی ویران کیا دل کی پریشانی میں

رنگ ہی رنگ ہیں بکھرے ہوئے دامن میں مرے

رچ گیا ہے مری آنکھوں کا لہو پانی میں

جسم اپنا بھی مہکتا ہوا گلزار لگا

پھر ترے غم کی ہوا آئی ہے جولانی میں

یوں نگاہوں میں اترنے لگے یادوں کے نجوم

درد بھی محو ہوا آئنہ سامانی میں

اپنے خوابوں کے طلسمات سے باہر تو نکل

جسم کو چھو کے کبھی دیکھ تو عریانی میں

سخن گرم کے پردوں کو گرانے والا

چھپنے پایا نہ کبھی اپنی پشیمانی میں

خلوت دل کے اندھیروں میں وہ سورج نکلا

مند گئی آنکھ مری روح کی تابانی میں

عافیت ڈھونڈنے نکلے تھے خموشی میں ندیمؔ

گھر گئے اپنی ہی آواز کی طغیانی میں

صلاح الدین ندیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein

Salahuddin Nadeem

kuchh bhi kar pae na hum hijr ki hairani mein
ghar bhi viran kiya dil ki pareshani mein

rang hi rang hain bikhre hue daman mein mere
rach gaya hai meri aankhon ka lahu pani mein

jism apna bhi mahakta hua gulzar laga
phir tere gham ki hawa aai hai jaulani mein

yun nigahon mein utarne lage yaadon ke nujum
dard bhi mahw hua aaina-samani mein

apne KHwabon ke tilismat se bahar to nikal
jism ko chhu ke kabhi dekh tu uryani mein

suKHan-e-garm ke pardon ko girane wala
chhapne paya na kabhi apni pashemani mein

KHalwat-e-dil ke andheron mein wo suraj nikla
mund gai aankh meri ruh ki tabani mein

aafiyat DhunDne nikle the KHamoshi mein 'nadim'
ghir gae apni hi aawaz ki tughyani mein

(322) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein written by Salahuddin Nadeem at UrduPoint. Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein is one of the masterpieces written by Salahuddin Nadeem. You can also find the complete poetry collection of Salahuddin Nadeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Salahuddin Nadeem' above.

Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kuchh Bhi Kar Pae Na Hum Hijr Ki Hairani Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.