Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein, Urdu Ghazal By Saleem Betab

Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saleem Betab. Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چمکے ہوئے ہیں دیوار و در رونق ہے بازاروں میں

سلیم بیتاب

چمکے ہوئے ہیں دیوار و در رونق ہے بازاروں میں

کیسے کیسے لوگ آئے ہیں کیسی کیسی کاروں میں

میں تو اس کے سامنے بیٹھا اس کا چہرہ پڑھتا تھا

جانے وہ کیا ڈھونڈ رہا تھا انگریزی اخباروں میں

وہ بھی دن تھے جب ہر چھٹی تیرے ساتھ گزرتی تھی

آج مگر رکھا ہی کیا ہے ہفتوں اور اتواروں میں

جانے کس فرہاد کا تیشہ کس کے جگر کو چیر گیا

خون کی دھاریں دیکھ رہا ہوں پتھر کی دیواروں میں

جن لوگوں کے عقل و ہنر کی دھوم مچی تھی عالم میں

ان کو بھی دیکھا ہے رسوا شاہوں کے درباروں میں

پھول سے چہرے شاخ سی بانہیں جب گلیوں میں ملتی ہیں

کون بھلا پھر سیر کو جائے ہرے بھرے گلزاروں میں

تو میری معصوم نظر کو بو الہوسی کا دوش نہ دے

میں تو خود کو دیکھ رہا ہوں تیرے حسیں رخساروں میں

آؤ ان کو باہر لا کر تازہ ہوا میں بٹھلائیں

لوگ چھپے بیٹھے ہیں کب سے اپنی ذات کے غاروں میں

اب کے تو بیتابؔ مری میں کچھ کچھ آگ برستی تھی

جلتے صحرا آ نکلے تھے بھیگے ہوئے کہساروں میں

سلیم بیتاب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein

Saleem Betab

chamke hue hain diwar-o-dar raunaq hai bazaron mein
kaise kaise log aae hain kaisi kaisi caron mein

main to us ke samne baiTha us ka chehra paDhta tha
jaane wo kya DhunD raha tha angrezi aKHbaron mein

wo bhi din the jab har chhuTTi tere sath guzarti thi
aaj magar rakkha hi kya hai hafton aur itwaron mein

jaane kis farhad ka tesha kis ke jigar ko chir gaya
KHun ki dhaaren dekh raha hun patthar ki diwaron mein

jin logon ke aql-o-hunar ki dhum machi thi aalam mein
un ko bhi dekha hai ruswa shahon ke darbaron mein

phul se chehre shaKH si banhen jab galiyon mein milti hain
kaun bhala phir sair ko jae hare-bhare gulzaron mein

to meri masum nazar ko bul-hawasi ka dosh na de
main to KHud ko dekh raha hun tere hasin ruKHsaron mein

aao un ko bahar la kar taza hawa mein biThlaen
log chhupe baiThe hain kab se apni zat ke ghaaron mein

ab ke to 'betab' muri mein kuchh kuchh aag barasti thi
jalte sahra aa nikle the bhige hue kohsaron mein

(533) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein written by Saleem Betab at UrduPoint. Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein is one of the masterpieces written by Saleem Betab. You can also find the complete poetry collection of Saleem Betab by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saleem Betab' above.

Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chamke Hue Hain Diwar-o-dar Raunaq Hai Bazaron Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.