Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha, Urdu Ghazal By Saraswati Saran Kaif

Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Saraswati Saran Kaif. Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کہیں یہ تسکین دل نہ دیکھی کہیں یہ آرام جاں نہ دیکھا

سرسوتی سرن کیف

کہیں یہ تسکین دل نہ دیکھی کہیں یہ آرام جاں نہ دیکھا

تمہارے در کی جو خاک پائی تو ہم نے سوئے جناں نہ دیکھا

بڑی چمک آفتاب میں تھی عجب دمک ماہتاب میں تھی

اچھال دی خاک دل جو ہم نے کسی کو پھر ضو فشاں نہ دیکھا

اگر مقدر کرے نہ یاری تو فرق کیا ہے کوئی جگہ ہو

چلو وہ قید قفس ہی دیکھی پھنکا ہوا آشیاں نہ دیکھا

بجا یہ فرمایا کوئی تجھ سا گدا مبرم نہیں جہاں میں

حضور میں نے بھی ساری دنیا میں آپ سا مہرباں نہ دیکھا

ہزار پھولوں میں دل کشی ہو بنائے گلشن ہے خار و خس پر

وہ کیا چمن ہے کہ جس چمن نے نشاط دور خزاں نہ دیکھا

اچھال کر کشتیٔ شکستہ کنارے موجوں نے پھینک دی ہے

بڑا ہی شہرہ تھا بحر غم کا پر اس کو بھی بے کراں نہ دیکھا

رکی رکی نبض ڈوبتا دل اکھڑتی سانسیں بھٹکتی آنکھیں

تمہارے ہی دیکھنے کے قابل تھا تم نے ہی یہ سماں نہ دیکھا

کبھی پرانے غموں کی سوزش کبھی نئی کش مکش کا کھٹکا

دل گرفتہ کو شادمانی میں بھی کبھی شادماں نہ دیکھا

ہزار کی تو نے ہرزہ گوئی مگر کہا مدعا نہ دل کا

جو سچ کہیں تو زمانے میں کیفؔ تجھ سا بھی بے زباں نہ دیکھا

سرسوتی سرن کیف

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha

Saraswati Saran Kaif

kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha
tumhaare dar ki jo KHak pai to hum ne su-e-jinan na dekha

baDi chamak aaftab mein thi ajab damak mahtab mein thi
uchhaal di KHak-e-dil jo hum ne kisi ko phir zau-fishan na dekha

agar muqaddar kare na yari to farq kya hai koi jagah ho
chalo wo qaid-e-qafas hi dekhi phunka hua aashiyan na dekha

baja ye farmaya koi tujh sa gada mubarram nahin jahan mein
huzur main ne bhi sari duniya mein aap sa mehrban na dekha

hazar phulon mein dilkashi ho banae gulshan hai KHar-o-KHas par
wo kya chaman hai ki jis chaman ne nashat-e-daur-e-KHizan na dekha

uchhaal kar kashti-e-shikasta kinare maujon ne phenk di hai
baDa hi shohra tha bahr-e-gham ka par us ko bhi be-karan na dekha

ruki ruki nabz Dubta dil ukhaDti sansen bhaTakti aankhen
tumhaare hi dekhne ke qabil tha tum ne hi ye saman na dekha

kabhi purane ghamon ki sozish kabhi nai kashmakash ka khaTka
dil-e-girafta ko shadmani mein bhi kabhi shadman na dekha

hazar ki tu ne harza-goi magar kaha muddaa na dil ka
jo sach kahen to zamane mein 'kaif' tujh sa bhi be-zaban na dekha

(483) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha written by Saraswati Saran Kaif at UrduPoint. Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha is one of the masterpieces written by Saraswati Saran Kaif. You can also find the complete poetry collection of Saraswati Saran Kaif by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Saraswati Saran Kaif' above.

Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kahin Ye Taskin-e-dil Na Dekhi Kahin Ye Aaram-e-jaan Na Dekha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.