Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube, Urdu Ghazal By Sardar Panchhi

Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sardar Panchhi. Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نگاہ شوق میں یوں زلف کے سب پیچ و خم ڈوبے

سردار پنچھی

نگاہ شوق میں یوں زلف کے سب پیچ و خم ڈوبے

عقیدت کی ندی میں جیسے پتھر کے صنم ڈوبے

ہوئے الفاظ گونگے ہو گئیں سب حرکتیں مبہم

کہ جب اپنے لہو میں اپنے ہی لوح و قلم ڈوبے

ہزاروں نفسیاتی رنگ ابھر آئے کہ جب دیکھا

خوشی کی اک پیالی میں پہاڑوں جیسے غم ڈوبے

محبت کا سمندر تو بلاتا ہی رہا لیکن

رہے دونوں کنارے پر نہ تم ڈوبے نہ ہم ڈوبے

ڈبونا ڈوبنا ہے راحت جاں کھل گیا عقدہ

جو پہلے پہل اس کے نینوں میں اس کے بلم ڈوبے

تجھے کیسے بتاؤں اے غزالہ تیری آنکھوں میں

بہت ڈوبے مرے ارمان لیکن پھر بھی کم ڈوبے

رقیب اپنے سے تھیں اٹھکھیلیاں گرداب کی ایسی

اگر ابھرا تو وہ ابھرا اگر ڈوبے تو ہم ڈوبے

لبوں کے ساحلوں پر نام اس کا لکھ کے رکھیے گا

کہیں ایسا نہ ہو کہ اپنے محسن کا کرم ڈوبے

نہ گنگا جل میں ہی ڈوبے نہ ڈوبے آب کوثر میں

مگر اشکوں کے ساگر میں سبھی دیر و حرم ڈوبے

ترے الفاظ پنچھیؔ تیری کشتی کے مسافر تھے

تلاش جذبۂ توصیف میں جو دم بہ دم ڈوبے

سردار پنچھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube

Sardar Panchhi

nigah-e-shauq mein yun zulf ke sab pech-o-KHam Dube
aqidat ki nadi mein jaise patthar ke sanam Dube

hue alfaz gunge ho gain sab harkaten mubham
ki jab apne lahu mein apne hi lauh-o-qalam Dube

hazaron nafsiyati rang ubhar aae ki jab dekha
KHushi ki ek pyali mein pahaDon jaise gham Dube

mohabbat ka samundar to bulata hi raha lekin
rahe donon kinare par na tum Dube na hum Dube

Dubona Dubna hai rahat-e-jaan khul gaya uqda
jo pahle pahl us ke nainon mein us ke balam Dube

tujhe kaise bataun ai ghazala teri aankhon mein
bahut Dube mere arman lekin phir bhi kam Dube

raqib apne se thin aThkheliyan girdab ki aisi
agar ubhra to wo ubhra agar Dube to hum Dube

labon ke sahilon par nam us ka likh ke rakhiyega
kahin aisa na ho ki apne mohsin ka karam Dube

na ganga-jal mein hi Dube na Dube aab-e-kausar mein
magar ashkon ke sagar mein sabhi dair-o-haram Dube

tere alfaz 'panchhi' teri kashti ke musafir the
talash-e-jazba-e-tausif mein jo dam-ba-dam Dube

(491) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube written by Sardar Panchhi at UrduPoint. Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube is one of the masterpieces written by Sardar Panchhi. You can also find the complete poetry collection of Sardar Panchhi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sardar Panchhi' above.

Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube is a widely read Urdu Ghazal. If you like Nigah-e-shauq Mein Yun Zulf Ke Sab Pech-o-KHam Dube, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.