Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai, Urdu Ghazal By Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz. Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

انجام خوشی کا دنیا میں سچ کہتے ہو غم ہوتا ہے

سید محمد عبد الغفور شہباز

انجام خوشی کا دنیا میں سچ کہتے ہو غم ہوتا ہے

ثابت ہے گل اور شبنم سے جو ہنستا ہے وہ روتا ہے

ہم شوق کا نامہ لکھتے ہیں کہ صبر اے دل کیوں روتا ہے

یہ کیا ترکیب ہے اے ظالم ہم لکھتے ہیں تو دھوتا ہے

ہے دل اک مرد آخر بیں اپنے اعمال پر روتا ہے

گر ڈوب کے دیکھو اشک نہیں موتی سے کچھ یہ پروتا ہے

گھر اس سے عشق کا بنتا ہے دل سختی سے کیوں گھبرائے

شیریں یہ محل اٹھواتی ہے فرہاد یہ پتھر ڈھوتا ہے

ٹھکرا کر نعش ہر عیسیٰ کہتا ہے ناز سے ہو برہم

اٹھ جلد کھڑے ہیں دیر سے ہم کن نیندوں غافل سوتا ہے

ہم رو رو اشک بہاتے ہیں وہ طوفاں بیٹھے اٹھاتے ہیں

یوں ہنس ہنس کر فرماتے ہیں کیوں مرد کا نام ڈبوتا ہے

کیا سنگ دلی ہے الفت میں ہم جس کی جان سے جاتے ہیں

انجان وہ بن کر کہتا ہے کیوں جان یہ اپنی کھوتا ہے

لے دے کے سارے عالم میں ہمدرد جو پوچھو اک دل ہے

میں دل کے حال پہ روتا ہوں دل میرے حال پہ روتا ہے

دکھ درد نے ایسا زار کیا اک گام بھی چلنا دوبھر ہے

چلئے تو جسم زار اپنا خود راہ میں کانٹے بوتا ہے

وہ امنگ کہاں وہ شباب کہاں ہوئے دونوں نذر عشق مژہ

پوچھو مت عالم دل کا مرے نشتر سا کوئی چبھوتا ہے

سید محمد عبد الغفور شہباز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz

anjam KHushi ka duniya mein sach kahte ho gham hota hai
sabit hai gul aur shabnam se jo hansta hai wo rota hai

hum shauq ka nama likhte hain ki sabr ai dil kyun rota hai
ye kya tarkib hai ai zalim hum likhte hain tu dhota hai

hai dil ek mard-e-aKHir-bin apne aamal par rota hai
gar Dub ke dekho ashk nahin moti se kuchh ye pirota hai

ghar is se ishq ka banta hai dil saKHti se kyun ghabrae
shirin ye mahal uThwati hai farhad ye patthar Dhota hai

Thukra kar nash har isa kahta hai naz se ho barham
uTh jald khaDe hain der se hum kin nindon ghafil sota hai

hum ro ro ashk bahate hain wo tufan baiThe uThate hain
yun hans hans kar farmate hain kyun mard ka nam Dubota hai

kya sang-dili hai ulfat mein hum jis ki jaan se jate hain
anjaan wo ban kar kahta hai kyun jaan ye apni khota hai

le de ke sare aalam mein hamdard jo puchho ek dil hai
main dil ke haal pe rota hun dil mere haal pe rota hai

dukh dard ne aisa zar kiya ek gam bhi chalna dubhar hai
chaliye to jism-e-zar apna KHud rah mein kanTe bota hai

wo umang kahan wo shabab kahan hue donon nazr-e-ishq-mizha
puchho mat aalam dil ka mere nishtar sa koi chubhota hai

(620) ووٹ وصول ہوئے

More Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz Poetry

بوند اشکوں سے اگر لطف روانی مانگے

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz - سید محمد عبد الغفور شہباز

Bund Ashkon Se Agar Lutf-e-rawani Mange

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz Urdu Poetry

انجام خوشی کا دنیا میں سچ کہتے ہو غم ہوتا ہے

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz - سید محمد عبد الغفور شہباز

Anjam Khushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai

کہاں نصیب زمرد کو سرخ روئی یہ (ردیف .. ی)

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz - سید محمد عبد الغفور شہباز

Kahan Nasib Zamurrad Ko Surkh-rui Ye

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz Urdu Poetry

شہبازؔ میں عیب ہی نہیں کل

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz - سید محمد عبد الغفور شہباز

Shahbaz Mein Aib Hi Nahin Kul

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz Urdu Poetry

مٹی کا ہی گھر نہ ہوگا برباد

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz - سید محمد عبد الغفور شہباز

Mitti Ka Hi Ghar Na Hoga Barbaad

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz Urdu Poetry

شب فراق کا چھایا ہوا ہے رعب ایسا (ردیف .. ی)

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz - سید محمد عبد الغفور شہباز

Shab-e-firaq Ka Chhaya Hua Hai Rob Aisa

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz Urdu Poetry

ہم رو رو اشک بہاتے ہیں وہ طوفاں بیٹھے اٹھاتے ہیں

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz - سید محمد عبد الغفور شہباز

Hum Ro Ro Ashk Bahate Hain Wo Tufan Baithe Uthate Hain

Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz Urdu Poetry

You can read Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai written by Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz at UrduPoint. Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai is one of the masterpieces written by Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz. You can also find the complete poetry collection of Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz' above.

Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Anjam KHushi Ka Duniya Mein Sach Kahte Ho Gham Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.